sajjad tujhe khoon rulayega ye bazaar
chalees baras bhool na payega ye bazaar
be-deeno ke narghe mein haram honge khule sar
barsayenege kothon se aseeron pe wo patthar
ta umr nigahon se jayega na ye bazaar
sajjad tujhe khoon...
darwaza e sa'at pe layeen denge manadi
naaqon se utar jaaye isi dhoop mein qaidi
yun zehmat e sadaat badhayega ye bazaar
sajjad tujhe khoon...
yun ghairat e maryam ko satayenge sitamgar
har gaam pe aaeene lagayenge sitamgar
kya manzar e gham naak dikhayega ye bazaar
sajjad tujhe khoon...
jis roz khabar shaam ka hakim ye sunega
bazaar ke nazdeek hai shabbir ka kunba
bedard usi roz sajayega ye bazaar
sajjad tujhe khoon...
durron se teri pusht pe likhenge sitamgaar
ghairat ka khuda ek rida ka hai talabgaar
har gaam naye zakhm dikhayega ye bazaar
sajjad tujhe khoon...
juz peshe khuda sar na khuja tera kahin par
lekin tujhe baba ne bataya tha ye ro kar
afsos ke sar tera jhukayega ye bazaar
sajjad tujhe khoon...
chauda sau baras baad hamay safdar o mazhar
milte hai kitabon mein yehi dard ke manzar
phir kis tarha bemaar bhulayega ye bazaar
sajjad tujhe khoon...