Sar Barehna Fatima Ki Betiyan Roti Rahi
Phool Se Shanou Me Badhkar Rassiyan Roti Rahi
1.Nange Paa Bimar Ku Kantou Pa Chalwayaga
Zakhmi Pairou Se Lipat Kar Bedhiyan Roti Rahi
2.Laasha-e-Abbas Khaime Me Nahin Laaye Hussain
Khoon Bhare Parcham Se Lipti Bebiyan Roti Rahi
3.Berida Kufe Ke Bazarou Me Jab Laayi Gayi
Dhaaph Kar Baalou Se Muh Shehazadiyan Roti Rahi
4.Dasht Me Besheer Zindan Me Sakina Chodh Gayi
Kukh Ujdhi Maa Ke Laabou Par Looriyan Roti Rahi
5.Chodh Kar Qabre Sakina Jab Chale Alhe Haram
Shaam Ke Zindan Ki Tarikiyan Roti Rahi
6.Fatima Sughra Ku Zainab Kuch Na De Payi Jawab
Bus Dikha Ke Usku Dhurou Ke Nasha Roti Rahi
7.Umme Laila Ke Muqaddar Me Na Tha Fakhri Sukoon
Zandagi Bhar Sunke Awaaz-e-Azaan Roti Rahi