naize pe kahan shaam gaya hai sar e abbas
rahwaar ke gardan mein bandha hai sar e abbas
sar sheh ka qalam godh mein zahra ke hua hai
kulsoom ki godhi mein kata hai sar e abbas
naize pe kahan shaam...
band aakhein lahoo chehre pe ruksaar bhi zakhmi
kis haal mein zainab ko mila hai sar e abbas
naize pe kahan shaam...
zainab ki taraf dekh ke tehra nahi jaata
naize se kayi baar gira hai sar e abbas
naize pe kahan shaam...
yaad aagaya behno ko wo zakhmi sar e hyder
jab gurz se do neem hua hai sar e abbas
naize pe kahan shaam...
hasrat ki nazar hai dar o dewaar ki jaanib
zinda mein kise dhoond raha hai sar e abbas
naize pe kahan shaam...
sajjad milaate hai bhatiji se chacha ko
turbat pe sakina ke rakha hai sar e abbas
naize pe kahan shaam...
ek qabr se aati hai sada mai bhi chalungi
bemaar jo dafnane chala hai sar e abbas
naize pe kahan shaam...
taazeem ko uthne lagi har bibi takallum
jab shadman zindan mein gaya hai sar e abbas
naize pe kahan shaam...