Kanz e Aza

Tod Kar Bande

A noha written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

amma meri amma meri amma


tod kar band e kafan mujhko bula lo amma

karbala waale musafir ko sambhalo amma


abhi kuch dayr to tehro mera phat'ta hai jigar

paas tum bhi mere nana ke chali jaana magar

aakhri baar kaleje se lagalo amma

tod kar band e kafan...


bin tumhare nahi manzoor ye jeena mujhko

raas aayega kahan ab ye madina mujhko

le chalo saath kafan mein hi chupalo amma

tod kar band e kafan...


jab se maara hai sitamgar ne tamacha tum ko

aankh bhar kar nahi shabbar ne hai dekha tum ko

ek nazar rote huwe bete pe daalo amma

tod kar band e kafan...


dil nahi maanta kis tarha ye bardasht karun

dekh kar aap ke qatil ko mai khamosh rahun

is aziyat se kisi tarha nikaalo amma

tod kar band e kafan...


jab talak tum na bulaogi na aayega hussain

pyaar maa bete ka dunya ko dikhayega hussain

aaj pehlu se zara haath haatalo amma

tod kar band e kafan...


tum na hogi to mai dunya mein jiyunga kaise

aaj maa beta ka ek saath janaza uthe

ek jannat se kafan aur mangalo amma

tod kar band e kafan...


qatl mohsin ka hua aur mai khamosh raha

aap par zulm hua aur mai khamosh raha

ab khamoshi se meri pehra uthaalo amma

karbala waale musafir ko sambhalo amma

tod kar band e kafan...


saath jayenge wahan saare behan bhai abhi

jahan rone ki shikayat na karega koi

door yasrab se koi basti basaalo amma

tod kar band e kafan...


maa ki mayyat pe bhi rehwaar se girte dam bhi

sheh ne awaaz takallum usi andaaz mein di

apne mazloom ko godhi mein uthaalo amma

tod kar band e kafan...