jab bhi aaya koi abbas ka pursa dene
ro ro ke har ek se ye abbas ki maadar ne kaha
mai ummul baneen hoon logon
abbas ki mai maa hoon
abbas ko ek pal na royi
shabbir ko rone ki khaatir
mai aaj talak zinda hoon
mai ummul baneen...
ye kam to nahi rutba mera
mere qadmon talay khaliq ne
us ghazi ki jannat rakh di
jannat jo sabhi ko baante
wo jis ka parcham karta hai
har ek zamane par saaya
main us ke liye saaya hoon
mai ummul baneen hoon...
ay kaash mai jaati karbobala
mehshar mein naam jo hota
ab saansein jab tak baaqi hai
mujhko ye rahega sadma
kyun saath ali ki beti ke
baazu na rasan se mere bandhe
zehra se mai sharminda hoon
mai ummul baneen hoon...
ek maa jo dhoop mein baithi hai
saaya us par rota hai
jab dekhti hoon ujdi godhi
dil mera laraz jaata hai
chalte hai mere dil par khanjar
hai fazl ki maa bhi bewa magar
bano ke liye dukhiya hoon
mai ummul baneen hoon...
ay mir takallum wo bibi
kehti hogi ye ro kar
ghazi ke kate shaano ki qasam
hai karz meri saanson par
pyasa gaya asghar dunya se
ye jab se suna hai us din se
mai pyason ki saqqa hoon
mai ummul baneen hoon...