Mazloom E Karbala Se Yeh Abbas Asws., Ne Kaha, moulaaaa*** Meri Amma Guzar Gayi.
rote Hai Sar Ko Peetke Sarkare Bawafa, moulaaaa*** Meri Amma Guzar Gayi.
1. Bachpan Mein Ungli Thaamke Amma Ki Mai Chala.
mujhko Bohot Azeez Hai Amma Ki Har Adaa.
kaise Mai Apne Dil Pe Yeh Sadma Uthaounga, moulaaaaa*** Meri Amma Guzar Gayi.
2. Aadabe Bandagi Se Sar-afraaz Kar Diya.
mujhko Fazeelato'n Ka Samandar Ataa Kiya.
duniya Meri Ujad Gayi, Phat_ta Hai Dil Mera, moulaaaa*** Meri Amma Guzar Gayi.
3.zehra S.a. Ke Laadlo'n Ki Azaadar Amma Jaa'n.
mazloomi E Hussain Asws. Ki Ghamqwaar Amma Jaa'n.
duniya Se Jaa Rahi'n Hai Sue Binte Mustafa S.a., moulaaa*** Meri Amma Guzar Gayi.
4. Sar Par Ali Asws. Ke Zarb Lagi Dekhti Rahi.
moula Hassan Asws. Ki Laash Ki Behurmati Hui.
sehkar Har Ek Zulm O Sitam Kar Gayi Qaza, moulaaaa*** Meri Amma Guzar Gayi.