Kanz e Aza

Nigahon ke sukoon ko qaake karbal mein

A noha for Ali Akbar (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Ali akbar asws. Ali akbar asws.*2.


Nigahon ke sukoon ko qaake karbal mein chipa dekha.


Shabihe mustafa asws. ke qalb ko sheh ne chida dekha.

1. wo Akbar (asws) ho ya Abbas (asws) e Alambardaar ya Qasim(asws).

sabhi hai arsh ke taare sabhi qamre bani hashim.

sabhi ki laash ke tukde zameen par jaabaja dekha.


Nigahon ke sukoon ko qaake karbal mein chipa dekha.


2. qushi hai baap ki sabse badi beta ho nazron mein.

andhera chaane lagta hai mare beta jo nazron mein.

pidar ki aankh thi phir bhi kaleje mein sina dekha.


Nigahon ke sukoon ko qaake karbal mein chipa dekha.


3. Nikala yaa Ali (asws) kehkar sina tooti kaleje se.

yeh manzar haaye duniya mein koi bhi baap na dekhe.

Ali ke saath sarwar ne jo qalbe mustafa saww. dekha.


Nigahon ke sukoon ko qaake karbal mein chipa dekha.


4. Are pushte zayeefi par jawani waah re ghurbat.

hui saare mere ghar ki tabahi waah re ghurbat.

nigahe yaas de bhayi ko apne baarahan dekha.


Nigahon ke sukoon ko qaake karbal mein chipa dekha.


5. Wo maa'n ko yaad aata hai jawaa'n ka barchiya'n khana.

wo Zainab (s.a) ka barehna paou'n qaime se nikal jana.

Ali akbar (asws) ke sar ko jab bhi baade karbala dekha.

shabihe mustafa ke qalb ko sheh ne chida dekha.

Kalaam: Janab Syed Mohebbe Abid Abidi Sahab Qibla (Farmaan)