Gham shahe dee.n ka hai motabar . ro rahe hai.n imam e zama.n ..
Karbala me hai unki nazar . ro rahe hai.n imam e zama.n
Chauda sadiyo.n se shaam o saher . ro rahe hai.n imam e zama.n ..
Karbala ki har ek baat par . ro rahe hai.n imam e zama.n
Zulm zahera pa todaa gaya jaane zahera ko mara gaya .
Yaad kar ke wo zahera ka ghar ro rahe hai.n imam e zama.n
Mashk par haaye teer e sitam ho gaye dono.n baazu qalam .
Mun.h ke bal wo giraa khaak par ro rahe hai.n imam e zama.n
Matam e shaahe dee.n hai bapaa gham ki chhayi huyi hai ghata .
Hai.n zameen o zama.n nauha gar ro rahe hai.n imama e zama.n
Har taraf aansu.n ki chamak mahewe giriya hai.n jin o malak ..
Koi is se nahi.n be khabar ro rahe hai.n imam e zama.n
Kahe rahe hai.n ye arzo sama munfarid hai gham e karbala ..
Aisa dekha nahi.n hai asar ro rahe hai.n imam e zama.n
Zulm se jiske rukhsar ki roz rangat badalti rahi .
Yu.n salam us pa bhi bhej kar ro rahe hai.n imam e zama.n
Koi mazloom shahe sa nahi.n keya falak ne ye dekha nahi.n .
The zamee.n pa na shahe zeen par ro rahe hai.n imam e zama.n
Haye mumtaz wo sakhtiya.n paaye aabid me thi.n bediya.n ..
Yaad kar ke wo mushkil safar ro rahe hai.n imam e zama.n
Kalaam: mumtaz lucknowi