Kanz e Aza

Ruqsat raza ka beta hum se hua hai haay

A noha for Imam Mohd Baqar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Baghdad me yeh kaisa shooro buka hai haay.

Ruqsat raza (as) ka beta hum se hua hai haay.

1) mola taqi (as) ke ghar pe chaahi hai kya qayamat.

Laashe pe sayyeda (as) bhi giryaa koona hai haay.


2) mola taqi (as) tune maara hai kamsini me

Aye mottesam ye teri kaisi jafa hai haay.


3)mola taqi (as) hamare khudh khoon ugal rahe the

Qatil ne zaher unko aisa diya hai haay.


4)zahra (as) ke laadle kyun qatl kardiya hai.

Ab arsh farsh me bhi matam bapa haay.


5)yoo chaagayi yateemi mola naqi (as) pe loogo

Noha kuna sabhi hai gham ki faza hai haay.


6) taboot uth raha hai mola taqi (as) ka raaqib.

Mola ke gham me dooba saara jaha hai haay.