Kanz e Aza

Saat Qadam

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Zille Raza Zaidi (2022). Lyrics in Roman Urdu.

kaisa imtehan hai hussain ka


saat qadam aage bade kyun hussain

saat qadam peeche hate kyun hussain


pehle qadam par yehi socha

jurm tha asghar ka bhala kya

haye dekh ke ye nanha sa laasha

gham se na mar jaaye sakina

thaam ke dil rone lage yun hussain

saat qadam peeche...

saat qadam aage...


duje qadam par kaha ro kar

kya karun batla ali asghar

haye dekh liya usne tujhe gar

mar hi na jaaye teri maadar

thaam ke dil rone lage yun hussain

saat qadam peeche...

saat qadam aage...


teesri baar aisa hua tha

qaime mein jaane lage maula

haye jhonka chala tez hawa ka

hatne laga laashe se kapda

thaam ke dil rone lage yun hussain

saat qadam peeche...

saat qadam aage...


jun hi qadam chautha uthaya

ghazi ko ro ro ke bulaya

haye kehne lage bhai tu aaja

qaime mein jaaya nahi jaata

thaam ke dil rone lage yun hussain

saat qadam peeche...

saat qadam aage...


haye qadam paanchwa utha

ro ke ye kehne lage maula

haye behre madad aaiye baba

bhaari hai khyber se ye laasha

thaam ke dil rone lage yun hussain

saat qadam peeche...

saat qadam aage...


haye paon chati baar badhaya

itne mein khud aa gayi zehra

haye boli ke ab tu nahi tanha

de mujhe baysheer ka laasha

thaam ke dil rone lage yun hussain

saat qadam peeche...

saat qadam aage...


saathveen baari mein hua kya

dar pe chali aayi sakina

haye kehne lagi aa gaye baba

hai kahan nanha mera bhaiya

thaam ke dil rone lage yun hussain

saat qadam peeche...

saat qadam aage...


qaime mein farhan hua kya

zille raza likh nahi paaya

haye laasha jun hi maan ko dikhaya

ek qayamat hui barpa

thaam ke dil rone lage yun hussain

saat qadam peeche...

saat qadam aage...