Sadaat ne matam ka phir farsh bichaaya hai.
Gham mola taqi (as) tera kainaat pe chaaya hai.
1) bachpan me yateemi ka sadma tha saha tune.
Tujhe zaher jawani me zalim ne pilaaya hai.
2) aye motessam billah lanath ho sada tujh par.
Ismath ka diya tune dhooke se bhujaaya hai.
3)pardes me the tanha afsoos taqi (as) mola
Jab waqt shahadat ka mazloom ke aaya hai.
4)zindaan me roo rookar kehte the taqi (as) mola
Abid (as) ki aseeri hai mujhko rulaaya hai.
5)yasrab se naqi (as) roote baghdaad me aaye hai.
Mola ka janaza yoo mola ne padhaya hai.
6) aye mola jawaad (as) baqshish ke liye kaafi.
Jo ashkh tere gham me ankhoon ne bhahaya hai