sadiq e aale muhammad par sitam kaisa hua
ye zameen bhi ro padi ye aasman bhi ro pada
pee ke pyala zehr ka noor e khuda bechain hai
fatema bechain roohe murtuza bechain hai
kayenat e mustafa mein ek andhera cha gaya
sadiq e aale muhammad par...
hogaye hai aaj haye musa e kazim yateem
ambiya hai girya kun rote hai musa e kaleem
tukde tukde ho gaya dil bolte quran ka
sadiq e aale muhammad par...
zehr mansoor e dawaniqi ne wo qaatil diya
haye lamhon mein hi maula ka kaleja kat gaya
khaana e kaaba mein aaya zalzalon par zalzala
sadiq e aale muhammad par...
khushbuon par yun hawaye zulm o aafat dhaaye hai
fatema ke baagh ka har phool masla jaaye hai
gulshan e ismat pe hai zulm o sitam ki inteha
sadiq e aale muhammad par...
madrasa aal e mohammad ka hua veeran aaj
baab e shehr e ilm ka khoon ho gaya armaan aaj
haye shehr e ilm bhi gham se lahoo rone laga
sadiq e aale muhammad par...
ilm o hikmat qaid hone ko hai ab zindan mein
kaise de khutbe ujaale ab khuda ki shaan mein
noor ka suraj chupa tareek har manzar hua
sadiq e aale muhammad par...
kaun dunya ko sikhayega zamane ke fuloon
kaun bakshega uloom e deen se dil ko sukoon
bolta quran haye zehr pee kar chal basa
sadiq e aale muhammad par...
shamme fiqh e jafar e sadiq pe haamid hai sitam
har kiran zakhmi hai rote hai mohamed dam ba dam
kalma goyon ne dukhaya dil rasool allah ka
sadiq e aale muhammad par...