YA JAFARE SADIQ a.s
Matam jahan me jafare sadiq ka hai bapa, Sar se humare uthgaya saya Imam ka, Haye ya jafare sadiq , haye ya jafare sadiq
1) Ay deen ke masiha , moula o muqtada
Kaisa sitam hua , zehre daga diya
Ya jafare sadiq , haye ya jafare sadiq
2) Ya rab yeh kya hua , kya zulm hogaya
Be jurm o be Qata , moula guzar gaya
Ya jafare sadiq , haye ya jafare sadiq
3) Nafse payambari , hum shaane Hyderi
Rote hai jafari , moula ne ki Qaza
Ya jafare sadiq , haye ya jafare sadiq
4) Mansoore be adab, dhaaya jo ye ghazab
ye zulme be sabab, moula pa ki jafa
Ya jafare sadiq , haye ya jafare sadiq
5) Yeh majlise Aza , hoti hai jo bapa
Aati hai Fatima , karti hai yeh buka
Ya jafare sadiq , haye ya jafare sadiq
6) Aaye hai panjetan , lab par hai yeh suqan
Baqir ke janotan , kaisi hui jafa
Ya jafare sadiq , haye ya jafare sadiq
7) Tha hashr ka sama , magmoom tha jahan
Rote the inso jaa'n , kazim ne jab kaha
Ya jafare sadiq , haye ya jafare sadiq
8) Ay Nasere Aza , kehke basad buka
Matam karo bupa , jafer ne ki Qaza
Ya jafare sadiq , haye ya jafare sadiq
9) Bas rokle Qalam , ghash hogaye haram
Hyder bachashme nam , noha jo yeh likha
Ya jafare sadiq , haye ya jafare sadiq