ya maula ali ya maula ali
meri jaan ali emaan ali
ya maula ali ya maula ali
nabiyon ne pukara mushkil mein
har dard ka hai darmaan ali
hai meri jaan ali
meri jaan ali emaan ali
ya maula ali ya maula ali
pathar mein alam gaada jisne
jisko hai khuda ka sher kaha
damaad e nabi hai maula ali
jise hyder o safdar laqab mila
hai dunya mein zeeshan ali
ya maula ali ya maula ali
hai meri jaan ali
meri jaan ali...
mimbar pe bula kar ahmed ne
man kunto maula jisko kaha
jiska bhi hoo ab mai maula
mere baad hai uska ali maula
jise allah say talwaar mili
ya maula ali ya maula ali
hai meri jaan ali
meri jaan ali...
socho to zara ay musalmano
roze mein us par waar kiya
jo shauhar e fatema zehra tha
usko masjid mein qatl kiya
tha ahmed ka dil o jaan ali
ya maula ali ya maula ali
hai meri jaan ali
meri jaan ali...
mehman bula kar kufe mein
imam e hassan ko zehr diya
jo godh e nabi mein khela tha
usko masjid mein zibha kiya
haye roti rahi zehra ki kali
ya maula ali ya maula ali
hai meri jaan ali
meri jaan ali...
ek ujda khaafela pyason ka
jab lekar zainab shaam gayi
mai paak ali ki beti hoo
ro ro kar zainab kehti rahi
ab koi nahi hai chaara gar
ya maula ali ya maula ali
hai meri jaan ali
meri jaan ali...
mehboob ne likha hai nauha
ro ro ke sunaata hai mesum
zainab ye duayein karti hai
ghar ghar shabbir ka ho matam
har shaks pukarega ek din
ya maula ali ya maula ali
hai meri jaan ali
meri jaan ali...