Kanz e Aza

Ya Maula Raza Jaan

A noha for Imam Raza (a.s), written by Mir Hilal (2026). Lyrics in Roman Urdu.

shaahe khurasan waarise quran ya maula raza jaan


ye sehn e shifa hai aur lab pe dua hai

darbaan banun mai bhi kar dijiye ehsaan


jab dar pe tere aaye bala tal gayi maula

ek hirz e elaahi hai tera naam bhi maula

hum log salamat hai tere dum se hi maula

shahe mashhad tera hai saron par saaya

kis baat ka darr hum ko jan tu hai nigehban

shaahe khurasan waarise quran...


maqrooz e karam hai tere dar ka ye zamana

hai teri sakhawat ka sakhawat mein bhi charcha

iran hi kya khaati hai dunya tera sadqa

tere darbar talak maangne aaye malak

khaaliq ne tere ghar ko bakhshi hai alag shaan

shaahe khurasan waarise quran...


masooma e qum ki qasam aejaz dekha do

tum khwaab mein hi apna deedar kara do

rukhsaar mere qabr ki jaali se laga do

noor e ain e musa mere aaqa maula

faryaad meri sunlo mai tumpe hoon qurban

shaahe khurasan waarise quran...


ye sehn e shifa hai aur lab pe dua hai

darbaan banun mai bhi kar dijiye ehsaan


jo ishq hai tujhse usi inaam ka sikka

hai zaamin e aahu ye bade kaam ka sikka

baazu pe jo baandha hai tere naam ka sikka

surat e naade ali hai asr is ka bhi

mushkil ho safar jitna kar dete ho asaan

shaahe khurasan waarise quran...


tum toos ke madfoon shahenshah e ajam ho

tum saare zaaane pe hi maail ba karam ho

sarkar tum hi khaak nasheeno ka bharam ho

ya mughees as shia tum ho wo darwaza

bakshish ka banaya hai rab ne jise meezan


maula raza maula raza maula raza


salaamalaika ya ghareebul watan ghareeb imam

salaam aap pe ay dilbare rasool e anaam

salaam aap pe syed rauf shaah e zaman

salaam aap pe pursaane haal e khastaye tan

salaam aap pe ay sogware karbobala

salaam aap pe ay beqarar o karb zada

salaamalaika anees an nafoos ya maula

salaam aap pe shams as shamoos ya maula

salaam maula raza


monis ho zaeefon ke moeen uz zuafa ho

haami ho ghareebon ke ghareebul ghuraba ho

tum bhi to azadar e qateelal abara ho

har ghadi har lamha rahe mehwe girya

tum ne bhi rahe haq mein sab kar diya qurban

shaahe khurasan waarise quran...


mamoon layeen ne ye ajab zulm kiya hai

angoor mein maula ko mere zehr diya hai

neela hai badan paas bohat waqte qaza hai

dard ka aalam hai har taraf matam hai

bechainiya badhti han kuch pal ke hai mehman

shaahe khurasan waarise quran...


bibi koi thaame huwe pehlu e shakista

ro ro ke khurasan mai padti hai ye nauha

aulaad e payambar ka hai dushman ye zamana

haal shabbar sa hua khoon ugalta hai raza

phir aaj hua mera pardes mein nuqsan

shaahe khurasan waarise quran...


ay mir hilal aaj bhi daawa hai ye mohkam

har saahib e irfan ko maloom hai mesum

ay saakin e mashad teri matti mein hai aalam

wajd mein rehta hoon jab ali kehta hoon

phir khatm kiya maine dil kehta hai quran

shaahe khurasan waarise quran...