haye reza maula reza
mazloom be-watan ye mera maula reza hai
jisko zehr logon musalman ne diya hai
sab aankhein karo band duhaai hai duhaai
ek bibi azadaron yahan shaam se aayi
lipti hai janaze se nahi sar pe rida hai
mazloom be-watan...
aaye hai janaze pe nabi shaahe umam bhi
kulsoom o ruqayya bhi hai masooma e qum bhi
wo bibi hai karbala mein jali jiski abaa hai
mazloom be-watan...
yun loota musalmano ne zehra ke chaman ko
hai zehr diya jaise mere maula hassan ko
dohrayi gayi haye wohi is pe jafa hai
mazloom be-watan...
masooma e qum deti hai ro ro ke duhaai
ay kaash mila de koi mujhse mera bhai
sughra ki tarha haye behan jis se juda hai
mazloom be-watan...
mamoon abbasi ki inayat hai ye logon
aale payambar se adawat hai ye logon
sayyedon se zara dekho ye ummat ki wafa hai
mazloom be-watan...
qurban mere maula pe ho jaan hamari
maqrooz mere maula ki ye dunya hai saari
ye martaba hoke bhi ghareebul ghuraba hai
mazloom be-watan...
rote hai farishte bhi zameen aur zamaan bhi
loh o qalam arshe bareen kaun o makaan bhi
khairunnisa ke laal ke matam ki sada hai
mazloom be-watan...