ye namaz ye kalma la ilaha illal laah
hai hussain ka sadqa la ilaha illal laah
zulm ke andhere mein deen e mustafa jab tha
sar chupane ko islam dar-badar bhatakta tha
tune raasta baksha la ilaha illal laah
ye namaz ye kalma...
haq ki raah mein apna tu agar na sar deta
iska naam dunya mein koi bhi nahi leta
tere dam se hai zinda la ilaha illal laah
ye namaz ye kalma..
tod'ta tha dam haye ran mein gulbadan tera
lut raha tha aankhon ke saamne chaman tera
aur tere lab par tha la ilaha illal laah
ye namaz ye kalma..
tere dam se tooti hai har sitam ki zanjeerein
tere dam se qaayim hai ye azan ki takbeerein
tere dam se hai maula la ilaha illal laah
ye namaz ye kalma..
apna ghar luataya hai apna sar kataya hai
karbala ke maidan mein tune ye bataya hai
hai wilayat e maula la ilaha illal laah
ye namaz ye kalma..
ran mein bekafan laasha tera hai pada maula
khoon roke kehti hai teri laash par zahra
gham mein tere roya hai la ilaha illal laah
ye namaz ye kalma..
baazu kat gaye ran mein bawafa biradar ke
chadarein chini sar se bache reh gaye pyase
tune apne khoon se likha la ilaha illal laah
ye namaz ye kalma..
dil mein yaad teri hai lab pe hai sana teri
hashmi ko bhi aaqa hai sab ata teri
aakhirat ka sarmeina la ilaha illal laah
ye namaz ye kalma..