Kanz e Aza

Ye shehre qurasaan me harsu duhayi hai

A noha for Imam Raza (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Yeh shehre khurasan me harsu duhayi hai, Pardes me bhai se bahen milne aayi hai.

Hamsheer ko toh bhai se milne ki aas hai, Yaan bhai ne toh qabr ki basti basayi hai.

Dekhi hai jabse chote bade hai siyah posh, Hathon se sarko peeti hai aur khaak udayi hai.

Kehti hai yun lipat ke lahad se basad malal, Bhai chalo watan yeh behen lene aayi hai.


Bolo behen se naam hai kya aur pata hai kya, Jis sar zamee'n pe aapne basti basayi hai.

Mujhko pata mila tha khurasa'n me ap hai, Ya maine aake apki ye qabr payi hai.

Sab log mujhko dekh ke rote hain zar zar, Is gham se meri jane hazee'n lab pe aayi hai.

Aayi hoon dur se mera mujra toh lo aqi, Mitti mein kyun yeh aapne surat chupayi hai.


Tha koun woh shaqi jise daawa tha haye haye, Maa baap ki kamayi mere yun lutayi hai.

Joi koi pochta hai ke kyu'n haal hai tabah, Kehti hai pyare bhai se qismat churayi hai.

Kya kaam mujhko shehron se basti se haye haye, Jaongi mein wahan ke jahan mera bhai hai...