Kanz e Aza

Zainab yateem hogaye Hyder guzar gaye

A noha for Imam Raza (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Zainab yateem hogayeee Hyder guzar gaye


Zainab yateem hogayeee Hyder guzar gaye , Hasnain bepidar hue Hyder guzar gaye , 1) Binte Ali ye kehti hai ab jeeke kya karu , Mai kistarha se haye yateemi ke gham sahu , Qallaaqe kaenaath ke mazhar guzar gaye


Zainab yateem hogayeee Hyder guzar gaye


2) Thaame hue hai farqe mubarak ko murtuza , Baba ka haal dekhke rote hai mujtaba , Kehte hai roke fatahe Qaiber guzar gaye , Zainab yateem hogayee Hyder guzar gaye

3) Moula ka waqte aaqiri jab aagaya khareeb , Dar par Ali ke jamma the kufe ke sab gareeb , Kehte hai roke naasero yaawar guzar gaye , Zainab yateem hogayee Hyder guzar gaye

4) roti hai sar ko peet ke jannat me fatima , Be chain dil hai zabt ka yaara nahi raha

Kehti hai bas yahi mere humsar guzar gaye , Zainab yateem hogayee Hyder guzar gaye


5) Ummul baneen karti hai noha basad mehan , Rote hai sarko peet ke Abbase saf shikan , Kya sadme ahlebait ke dil par guzar gaye , Zainab yateem hogayee Hyder guzar gaye

6) Gunji faza me jis ghadi jibreel ki sada , Sibtain daode janibe masjid barehna pa , Baba ka haal dekhke mehshar guzar gaye , Zainab yateem hogayee Hyder guzar gaye

7) Syedaaniyo'n pa saqt musibat ki hai ghadi, gham hai ghash me aur hai kulsoom ro padi, kya sadme bibiyo'n ke jigar par guzar gaye


Zainab yateem hogayee Hyder guzar gaye


8) Hyder jaha'n me aaj Qayamat hui bapa , Bin baap ke layeen ne Hasnain ko kiya , Jinno bashar me hashr hai hyder guzar gaye , Zainab yateem hogayee Hyder guzar gaye