aaj maatam bapa hai waawaila
diya abid ko sam waleede layee'n
ghul ye harsu bapa hai wawaila
roe chalees saal behre pidar
ranj ki intehaa'n hai waawaila
ummate jadd ke baqsh waane ko
zulm sheh ne saha hai wawaila
hai madeene me hashr ka saamaa'n
har mohib ro raha hai waawaila
aaj chouthe imaam ka saaya
sab ke sar se utha hai wawaila
qaak udaate hai betiya'n bete
sheh ka lasha pada hai wawaila