al madad maula raza
nana nabi dada ali
dadi teri khairunnisa
tu hai maseeha e jahan
shaahe khurasan hai laqab
yun har farishta rauze par
aata hai tere ba-adab
haa radh nahi hoti tere
rauze pe koi bhi dua
nana nabi dada ali...
al madad maula raza...
beenayi bhi deta hai tu
goyaai bhi deta hai tu
maange agar tujhse koi
daanaai bhi deta hai tu
tu bhi to baab e ilm hai
tu bhi to hai mushkil kusha
nana nabi dada ali...
al madad maula raza...
hai zaamine aahu bhi tu
gul bhi hai tu khushboo bhi tu
hai pochta har aankh se
girte huwe aansu bhi tu
teri ataayein dekh kar
dushman ko bhi kehna padha
nana nabi dada ali...
al madad maula raza...
teri karamaate nazar
shab ho ke ho waqte sahar
lehta hai har zaayir tera
rauze ki jaali choom kar
mashad muqaddas ho gaya
tune jo aa kar di azan
nana nabi dada ali...
al madad maula raza...
tere hi dastar khaan par
hota hai jannat ka gumaan
jinn o malak lete hai sab
tere hi dar se rotiyan
maula tera makrooz hai
har ek gada o baadshah
nana nabi dada ali...
al madad maula raza...
rauze se tere door hai
hum to bahot majboor hai
aankhon se aansu hai rawan
dil bhi ghamon se choor hai
tujhse kahenge haal e dil
izne ziyarat kar ataa
nana nabi dada ali...
al madad maula raza...
ahle aza ke haal par
dukhta to hoga dil tera
ishq e ghame shabbir mein
maare gaye jo bekhata
hai monis o yawar tu hi
ibne shaheede karbala
nana nabi dada ali...
al madad maula raza...
rehaan mujhko hai yaqeen
maula raza ki zaat se
ye naukri shabbir ki
jayegi ab na haath se
nauhe likhunga mai sada
dete rahenge wo sila
nana nabi dada ali...
al madad maula raza...