kehte thay ran mein sarwar
maara gaya baradar
tooti kamar hai meri
laashe utha utha kar
amma mai thak gaya hoo
seh roz ka hoo pyasa
mai hogaya akela
asghar ko dafn kar ke
khud ban gaya hoo laasha
dekho mera muqaddar
amma mai thak gaya hoo...
ye fikr khaa rahi hai
ab shaam aa rahi hai
mansoobein fauje aada
ab ye bana rahi hai
cheene haram ki chadar
amma mai thak gaya hoo...
ay amma ye na poocho
kya hogaya hai mujhko
tum khud hi zakhme akbar
maidan mein aake dekho
qaabu nahi hai dil par
amma mai thak gaya hoo...
maqtal se chun ke laaya
pamaal ek laasha
haathon ki jiski mehndi
deti thi mujhko pursa
aansu baha baha kar
amma mai thak gaya hoo...
bedast ho ke ghazi
sota hai neend gehri
dooba lahoo mein parcham
zakhmi hai mashk uski
usko jagaa jagaa kar
amma mai thak gaya hoo...
tooti kamar sambhalun
ya dil pe haath rakhun
jo teer aa rahe hai
haathon se kaise rokun
khud ko bacha bacha kar
amma mai thak gaya hoo...
khushboo bata rahi hai
aap aagayi hai rann mein
mai kab se dhoondta hoo
karbobala ke ban mein
aajao khud hi maadar
amma mai thak gaya hoo...
aayi sada e zehra
rehaan karbala mein
tanha nahi hai ab tu
is maqtal e jafa mein
kyun keh raha hai dilbar
amma mai thak gaya hoo...