Amma Meri Gardan Se Hathou Ku Hatalo
Chalne Do Churi Mujh Par Nazrou Ku Hatalo
1.Zinda Hu Abhi Chalti Hai Saanse Meri Amma
Ab Tak Toh Khuli Hai Meri Aanken Meri Amma
Aaye Sabare Maa Sar Me Abhi Khahk Na Daalo
Amma Meri Gardan Se Hathou Ku Hatalo
2.Chani Hai Badan Teerou Se Gurbat Ki Ghadi Hai
Aaye Amma Meri Mout Mere Sar Pa Khadi Hai
Ek Bar Zara Mujh Ku Seene Se Laagalo
Amma Meri Gardan Se Hathou Ku Hatalo
3.Maare Gaye Amma Mere Sab Naser-o-Yawar
Be Gur-o-Kafan Reth Pe Hai Laash-e-Asghar
Is Khoon Bhare Manzar Ku Aankhou Me Basalo
Amma Meri Gardan Se Hathou Ku Hatalo
4.Abbas Alamdar Ka Ehsan Hai Mujh Par
Pyasa Hai Mera Bhai Abhi Tak Laabe Kausar
Baazu Mere Gaazi Ke Rethi Se Uthalo
Amma Meri Gardan Se Hathou Ku Hatalo
5.Laasa Ali Akber Ka Bhi Maine Hi Uthaya
Khoon Ashgar-e-Besheer Ka Chehre Pa Lagaya
Tum Khoon Mera Apne Chehre Pe Lagalo
Amma Meri Gardan Se Hathou Ku Hatalo
6.Turbat Se Nikalenge Laayi Laasa-e-Asghar
Sar Uska Ka Bhi Naize Pe Chadhaenge Sitamgar
Laasa Mere Asghar Ka Daman Me Chupalo
Amma Meri Gardan Se Hathou Ku Hatalo
7.Har Simt Mere Fouj-e-Sitamgar Khadi Hai
Zainab Daare Khaima Pe Wahan Ghash Me Padhi Hai
Gar Hosake Aaye Amma Zainab Ku Sambhalo
Amma Meri Gardan Se Hathou Ku Hatalo
8.Mehdi Yeh Laabe Shah Pa Tha Aakhri Nouha
Tha Noor Ali Alam-e-Imkan Me Girya
Sheh Bole Jo Amma Mere Nana Ku Bulalo
Amma Meri Gardan Se Hathou Ku Hatalo