ghar se jo zehra ke mayyat uthi
ghar mein ali ke qayamat hui
kehti thi zainab ye sar peet kar
amma na jao mujhe chod kar
veeran hojayega ab ye ghar
amma na jao mujhe chod kar
uth uth ke karti thi shab ko fughan
dil kaat jaata tha gham ka bayan
khamosh ho kuch to bolo na maa
uth jao zainab ki faryaad par
amma na jao mujhe chod kar
kehti thi zainab...
de kar sadayein bulao hamein
seene se apne lagao hamein
furqat ke din na dikhao hamein
kyun aaj hum se hui be-khabar
amma na jao mujhe chod kar
kehti thi zainab...
bachon pe koh e alam gir pada
sar ko jhukaye hai sher e khuda
kulsoom o fizza hai mehwe buka
hasnain rote hai thaame jigar
amma na jao mujhe chod kar
kehti thi zainab...
baba ka apne judaai ka gham
darbaar jaane ka dil par sitam
ummat se paaye hai is darja gham
sab se chupa ke wo zaqme jigar
amma na jao mujhe chod kar
kehti thi zainab...
pehlu pe jalta hua dar gira
mohsin ka maqtal ye ghar ban gaya
is gham ne tum ko na jeene diya
sab zakhm dekhe hai tum ne magar
amma na jao mujhe chod kar
kehti thi zainab...
pehlu shikasta jhuki hai kamar
ek haath pehlu pe ek qalb par
zeb e musalla thi tum raat bhar
ab kyun ho khamosh lagta hai darr
amma na jao mujhe chod kar
kehti thi zainab...
altaf o safdar ho kaise raqam
khairunnisa pe jo guzre sitam
khirtaas par likh ke roya qalam
hai ek jumle ka dil par asar
amma na jao mujhe chod kar
kehti thi zainab...