Kanz e Aza

Ay Shaahe Ambiya

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Tauqeer Kamalvi. Lyrics in Roman Urdu.

ay shaahe ambiya ye musalman ne kya kiya

minbar pe fatema ka mujrim bitha diya


jis dar pe aap rukte thay lene ijazatein

aate farishte arsh se karne ziyaratein

ek behaya ne aag se wo dar jala diya

ay shaahe ambiya...


hasne laga layeen jo rone lagi batool

ghasib ne sayyeda ki gawahi na ki qabool

khud saccha ban ke bibi ko jhoota bana diya

ay shaahe ambiya...


utri hai jin ki shaan mein aayaat baar baar

jin ki raza ko rad na kare rabb e kirdgaar

haq maangne gayi wo to khaali lauta diya

ay shaahe ambiya...


jis shakhs ne di aap ko hizyan ki saughaat

jis se mila na aap ko kaghaz qalam dawaat

darbar mein batool ko us ne rula diya

ay shaahe ambiya...