bhare darbar may roti rahi khadi zahra
na jaane kis tarha haq maangti rahi zahra
sanad ke tukde hawa may uda ke hasne laga
rasool zaadi se gustaakh aise kehne laga
batao kaun si jageer hai teri zahra
bhare darbar may...
hassan hussain se sache gawah bhi jhutlaye
rula ke bibi ko zaalim zara na sharmaye
bhula na payegi ummat ke berukhi zahra
bhare darbar may...
ye uski beti hai jisne do lakht chand kiya
wo jis ke noor ne har roshni ko maand kiya
isay satao na dukhiyari hai badi zahra
bhare darbar may...
nabi ke baad ye kya hogaya zamane ko
kyun kalmago hai chale tera ghar jalane ko
sahegi kis tarha tu ye sitamgari zahra
bhare darbar may...
siyaah baal jo maa ke safed kar dekhe
tauqeer kaise kahoo betiyon ne sar peete
gayi thi jis tarha ghar thaki thaki zahra
bhare darbar may...