Boli zainab chali kahaa'n amma
Chord ko hum ko neemjaa'n amma
Bhai shabbar pachaadei'n kha kha kar
Poochte hai gayi kahaa'n amma
Bhai sarwar ka dam na ghut jaaye
Kab se karte hai wo fughaa'n amma
Aaj bin maa ki ho gayi'n afsos
Teri dukhiyaari betiyaa'n amma
Saath apne hamei'n bhi le chaliye
Aap jaati hai ab jahaa'n amma
Uth gaya sar se aap ka saaya
Log ab denge ghurkiyaa'n amma
Bhooliyega na isko mehshar
Hai sa'eed apna nouhakhwaa'n amma