Boond Pani Bhi Mayyasar Na Hua Asghar Ko
Gham Tha Is Baat Ka Maqtal Me Dil-e-sarwar Ko
Aayenga Qaime Me Pani To Sakina Ne Kaha
Pehle Pani Main Pilaoungi Ali Asghar Ko
Shah Ke Hatoun Pe To Khoo Me Nahakar Aaye
Chain Ab Aayega Ek Pal Na Teri Madar Ko
Pani Ke Mangne Par Hogaya Kaisa Ya Sitam
Teer Se Maara Hai Zalim Ne Ali Asghar Ko
Gham Na Ghazi Ko Koi Haathoun Ke Katne Ka Hua
Mashq Chidne Ka Magar Gham Tha Ibne Hyder Ko
Ghode Se Jab Gire Maqtal Me Hussain Ibne Ali
Kaatkar Naize Pe Aada Ne Chadaya Sar Ko
Yaad Karti Rahi Tanhayi Me Sughra Paiham
Kabhi Shabbir Ko Akbar Ko Kabhi Asghar Ko
Khoud Kar Qabar Gala Kata Mere Pyare Ka
Hai Turbat Main Bhi Na Chain Mila Asghar Ko
Legaye Sham Talak Karke Layeen Sab Ko Aseer
Bibiyan Balwe Me Mohtaj The Ek Chader Ko
Naaz Karti Hai Khudayi Bhi Khuda Bhi Sahil
Shey Ne Islam Bachaya Hai Lutajar Ghar Ko