Kanz e Aza

Dekh Kar Hairaan

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Haider Khursheed. Lyrics in Roman Urdu.

dekh kar hairaan khuda hai asghar e baysheer ko

kar diya do lakht jis ne hurmala ke teer ko


chad ke naize pe bachaya tu ne asghar la ilaah

deen e ahmed pe hua yun teer kha kar tu fida

marhaba kehna pada khud kaatib e taqdeer ko

kar diya do lakht jis ne hurmala ke teer ko

dekh kar hairaan...


qaid ki tanhaiyan aur is pe zaalim ke sitam

bhool jayegi layeen ko aur kaano ke zakhm

qabr bhoolegi na teri haye kabhi humsheer ko

kar diya do lakht jis ne hurmala ke teer ko

dekh kar hairaan...


saath jab baba ke asghar ko na payegi rubab

leke khaali godh kaise shaam jayegi rubab

bas khayal aata hai maqtal mein yehi shabbir ko

kar diya do lakht jis ne hurmala ke teer ko

dekh kar hairaan...


jhoolta naize pe jhoola na ye bhoolega jahan

ta abad royenge us ko ye zameen o aasman

kar gaya nakaam zaalim ki jo har tadbeer ko

kar diya do lakht jis ne hurmala ke teer ko

dekh kar hairaan...


dekh kar asghar ka hasna ro rahe thay ashqiyan

dekh asghar ki shuja'at jhoomte thay ambiya

saare mil kar dekhte thay deen ki tanveer ko

kar diya do lakht jis ne hurmala ke teer ko

dekh kar hairaan...


aa rahi khursheed hai ab bhi sada e karbala

na chupega us ka khoon hai jo bina e la ilaah

laakh dunya ye chupaye khoone be-taqseer ko

kar diya do lakht jis ne hurmala ke teer ko

dekh kar hairaan...