Kanz e Aza

Ek Maa ka Ye Nauha

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

ek maa ka ye nauha tha aajao ali asghar

dushwaar hua jeena aajao ali aghar


kya dil pe guzarti hai batlaun tumhe kaise

is waqt kamar thaame rote hue hasrat se

kehte thay shahe waala aajao ali asghar

ek maa ka ye nauha tha...


mai kis se kahoon beta ab khatm hua lashkar

shabbir akele hai abbas hai na akbar

hai waqt qayamat ka aajao ali asghar

ek maa ka ye nauha tha...


ek baar chale aao phir jaane nahi doongi

godi mein uthaungi seene se lagaungi

jangal mein nahi sona aajao ali asghar

ek maa ka ye nauha tha...


ay laal teri surat phirti hai nigahon mein

laut aao ke ab lori dhalne lagi aahon mein

khoon rota hai dil mera aajao ali asghar

ek maa ka ye nauha tha...


behaal sakina hai dekho to zara aakar

hai neel tamacho ke mazloom ke gaalon par

mar jaye na masooma aajao ali asghar

ek maa ka ye nauha tha...


bikhre hue laashe hai har ek taraf ran mein

khauf aata hai ay beta is ujde hue ban mein

maqtal mein hai sannata aajao ali asghar

ek maa ka ye nauha tha...


mai raaton ko uth uth kar jo jhoola jhulati thi

de de ke tumhe lori mai jisme sulaati thi

veeran hai wo jhoola aajao ali asghar

ek maa ka ye nauha tha...


hai aakhri sajde mein wo waaris e paighambar

ab shimr ka khanjar hai shabbir ki gardan par

lut jaye na ghar mera aajao ali asghar

ek maa ka ye nauha tha...


mehshar tha bapa gohar is dashte musibat mein

tadpa to zaroor hoga baysheer bhi turbat mein

jab maa ne kaha hoga aajao ali asghar

ek maa ka ye nauha tha...