Kanz e Aza

Hussain Haye Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

ye bain karti thi zehra hussain haye hussain


sada e girya o zaari ki roz o shab aayi

hussain baad tere aisi wehshatein aayi

ujad gaya hai madina hussain haye hussain

ye bain karti thi zehra...


tere baghair madine may reh ke kya karti

mai tere saath hi is dasht may chali aayi

akeli reh gayi sughra hussain haye hussain

ye bain karti thi zehra...


mai teri maa hoo har ek ranj o gham uthaungi

ay mere laal tujhe chod kar na jaaungi

mai tere saath hoo beta hussain haye hussain

ye bain karti thi zehra...


na paas aun o mohamed hai aur na akbar hai

na ab alam na alamdar hai na asghar hai

ghareeb hogaya mera hussain haye hussain

ye bain karti thi zehra...


udaas tashna dahan khoon may nahaye huwe

akela khaak pe baitha hai sar jhukaye huwe

kya haal hogaya tera hussain haye hussain

ye bain karti thi zehra...


abhi mai aayi hoo qaime se ho ke ay beta

hai tere gham may ajab haal teri behna ka

tadap rahi hai sakina hussain haye hussain

ye bain karti thi zehra...


tadap ke ghamzada mazloom maa ye kehti hai

zara sa pani pilaade hussain ko koi

hai teen roz ka pyasa hussain haye hussain

ye bain karti thi zehra...


tamaam raat mai ro ro ke aahein bharti rahi

mai us maqaam ko baalon se saaf karti rahi

karega tu jahan sajda hussain haye hussain

ye bain karti thi zehra...


sar e hussain se naawar tha ghamzada gohar

chala jo khaafla to saath hi chali maadar

labon pe tha yehi nauha hussain haye hussain

ye bain karti thi zehra...