Kanz e Aza

Hussain Ibne Ali ka

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

hussain ibne ali ka kalma

padha diya tu ne la ilaah ko

kata ke shaane alam utha kar

basa diya tu ne la ilaah ko


banayi zeenat jo nauhakhwan ki

zameer goondha jo matami ka

nabi mila ke ali mila ke

mila diya tu ne la ilaah ko

hussain ibne ali ka...


labalab apne lahoo se bhar ke

ye tishnagi se kasheed kar ke

yehi ke abid baqa ka saaghar

pila diya tu ne la ilaah ko

hussain ibne ali ka...


diye hai baazu de di hai saansein

diya hai chehra de di hai aankhein

khuda ye hoi ye jaa ke pooche

ke kya diya tu ne la ilaah ko

hussain ibne ali ka...


subhana rabb e azeem hai tu

hai rabb e aala kareem hai tu

nashayb e maqtal se taa ba sidra

saja diya tu ne la ilaah ko

hussain ibne ali ka...


hai sar ka nauha malak ka nauha

zameen ka nauha falak ka nauha

har ek zamane mein khud ujal ke

basa diya tu ne la ilaah ko

hussain ibne ali ka...


khuda ki tasbeeh bhi yehi hai

naved ka bhi yehi hai sajda

lahoo ka apne libaas e dillat

pinha diya tu ne la ilaah ko

hussain ibne ali ka...