Kanz e Aza

Jab Gardane Shabbir

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

mai khud ko sar e karbobala dhoond raha hoo

zinda hoo ke murda hoo agar hoo to mai kya hoo

ye karbala maazi hai ke hai haal ke farda

mai tha ke nahi hoo ke nahi hoonga na hoonga

kya waqt ka phaylao hai ashoor ka arsa

nazdeek ka arsa hai ke ye door ka arsa


jab gardane shabbir pe shamsheer rawan thi

ay waye kahan tha mai meri rooh kahan thi


jab aandhiya uth'ti thi larazti thi zameen jab

tooti hui jab seena e akbar mein sina thi

ay waye kahan tha mai...

jab gardane shabbir pe...


jab maa thi dar e qaima pe bikhraye huwe baal

khole huwe jab teer ali asghar pe kaman thi

ay waye kahan tha mai...

jab gardane shabbir pe...


tukde dil e shabbar ke thay jab dasht mein bikhre

jab ghodon ke taapon talay ek laashe jawan thi

ay waye kahan tha mai...

jab gardane shabbir pe...


hotay thay dhuan aag se maa'on ke kaleje

sar khole huwe khaak pe jab maa'on ki maa thi

ay waye kahan tha mai...

jab gardane shabbir pe...


jab hatkadi haathon mein thi tha tauq galay mein

jab paon mein sajjad ke zanjeer e giran thi

ay waye kahan tha mai...

jab gardane shabbir pe...


kano se tapakta tha lahoo jalta tha daaman

ghabrayi hui sholon mein jab nanhi si jaan thi

ay waye kahan tha mai...

jab gardane shabbir pe...


do baazu tadapte thay juda tan se sar e khaak

jab khoon ki nadi mashk e sakina se rawan thi

ay waye kahan tha mai...

jab gardane shabbir pe...


maqtal ho ke bazaar ho darbaar ke zindan

mai bhi tha wahin haye meri rooh jahan thi

ay waye kahan tha mai...

jab gardane shabbir pe...


ye zakhm naved aah bhara hai na bharega

jab chadar e tatheer sare noke sina thi

mai bhi tha wahin haye meri rooh jahan thi

ay waye kahan tha mai...

jab gardane shabbir pe...