Kanz e Aza

Jab Laashae Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Jauhar. Lyrics in Roman Urdu.

jab laasha e hussain na qaime mei jaa sake

khud bibiyan hussain ke laashe pe aagayi


laasha uthane waala to koi nahi raha

khud bibiyan hussain ke laashe pe aagayi


qaime mein laash shaah ki ab leke jaaye kaun

koi nahi hai laasha e sarwar uthaye kaun

haan dekh kar hussain ki ghurbat ka maajera

khud bibiyan hussain ke laashe pe aagayi

jab laasha e hussain...


beta bacha hai ke wo bemaar hai magar

maqtal se kar na payega qaime talak safar

maqtal talak qayaam se karti hui buka

khud bibiyan hussain ke laashe pe aagayi

jab laasha e hussain...


hasne lage ye dekh ke saare sitam shiyaar

aapas mein ek dooje se kehte thay baar baar

is se siwa hussain pe hogi bhi kya jafa

khud bibiyan hussain ke laashe pe aagayi

jab laasha e hussain...


na jaane kaisa hoga wahan bibyon ka haal

laashe se bhi shaheedon ke karne lage malaal

aah o buka se unko ye mehsoos hogaya

khud bibiyan hussain ke laashe pe aagayi

jab laasha e hussain...


dil par hussain apne har ek gham ko seh gaye

laasha har ek shaheed ka qaime mein le gaye

laasha magar hussain ka maqtal mein hi raha

khud bibiyan hussain ke laashe pe aagayi

jab laasha e hussain...


jin bibiyon ka saaya bhi dekha nahi gaya

wo bibiyan hai laasha e sarwar pe berida

hilne laga ye dekh ke maidan e karbala

khud bibiyan hussain ke laashe pe aagayi

jab laasha e hussain...


maqtal mein jab ke hogaya kohram ek bapa

abbas ke janaze pe fizza ne ye kaha

uth kar zara ye dekh le ay mere bawafa

khud bibiyan hussain ke laashe pe aagayi

jab laasha e hussain...


jauhar pada tha laasha e shabbir be-amaan

rukti bhi kaise qaime mein zehra ki betiyan

safdar bala ke dasht mein aakhir yehi hua

khud bibiyan hussain ke laashe pe aagayi

jab laasha e hussain...