jab na aada se kisi tarha safayi tehri
subhe ashoor e muharram ko ladayi tehri
poocha zainab ne ke kya hai mere bhai tehri
shah ne farmaya behen tumse judaai tehri
aaj pyaron se mulaqaat bani mat jaano
ay behen aaj ki ye raat ghanimat jaano
mai inke shar se amaan paaun ghair mumkin hai
watan may aal ko pahunchaun ghair mumkin hai
yahan se paon bhi sarkaaun ghair mumkin hai
mai kal ko qatl se bach jaaun ghair mumkin hai
khuda se sabr o riza ka hai khast gaar hussain
bas ek raat ka mehmaan hai bedayaar hussain
bala may kushta e ranj o alam ko rehne do
faqat musafir e raah e adam ko rehne do
sitam raseeda paband e gham ko rehne do
na tum raho na ali ke haram ko rehne do
hamare baad ye nachaar dar badar na phire
rasool zadiyan balwe may nange sar na phire