Kanz e Aza

Jahan May Fana ke

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

baakhi raha hai kaun jahan mein fana ke baad

zinda magar hussain hai khatle jafa ke baad

baakhi raha hai...


aaqa hai wo hamara hum uske ghulam hai

khabza hai kayenaat pe jiska khuda ke baad

baakhi raha hai...


hai marqade hussain tamanna e aakhri

jannat bhi gar milay to na le karbala ke baad

baakhi raha hai...


nusrat ko aa rahe hai malak chod kar falak

paaya sharaf hussain ne ye ambiya ke baad

baakhi raha hai...


parde ki aayaton ki ye tafseer dekhlo

balon se moo chupaye haram hai rida ke baad

baakhi raha hai...


karke baland haaton pe asghar ko bolay shaah

baakhi nahi hai ab koi is mehlakha ke baad

baakhi raha hai...