jaisa apna hai nabi koi payambar na mila
saff shikan dekh liye ek bhi hyder na mila
fatema aisa koi noor ka mehwar na mila
aaj tak shabbar o shabbir ka hamsar na mila
panjetan paak se kaunain mein behtar na mila
jaisa apna hai nabi...
raat bhar tadpa kiya pyaas ke maare ki tarha
khamoshi lab pa thi darya ke kanare ki tarha
yaad e sheh dil mein thi behte hue dhaare ki tarha
dar e shabbir pa pahuncha hai sitaare ki tarha
hurr ke manind naseebe ka sikandar na mila
jaisa apna hai nabi...
aam logon mein kahan nafse payambar ka jawab
khaak ke putle nahi noor ke paikar ka jawab
har sipahi kahan ban jaata hai lashkar ka jawab
kaise mil jayega as'haab mein hyder ka jawab
bazm e as'haab mein jab doosra buzar na mila
jaisa apna hai nabi...
baaghe firdaus e iram chaahiye kausar ke liye
noor hi zeb hai kuch noor ke paikar ke liye
ek samandar ki zaroorat hai samandar ke liye
rab ne hyder ko chuna binte payambar ke liye
chashme khudrat ko bhi is ghar ke siwa ghar na mila
jaisa apna hai nabi...
shab ke ta'binda sitaron se unhe kuch na mila
dil ke rangeen nazaron se unhe kuch na mila
is zamane ki baharon se unhe kuch na mila
behte darya ke kanaron se unhe kuch na mila
zindagi mein jinhe mahir gham e sarwar na mila
jaisa apna hai nabi...