Be Jurm ek Ghareeb ko Adaa Rulate Hain
Karbal may Ek Yateem Ka Bistar Jalate Hai
Kantoon pe Nangay Paon Sitamgar Chalate Hai
Ba'ndha Aadoo Nay Deen ke Sardar ka Gala
Jakda Huwa Hai Tauq Mai Bimar Ka Gala
Zainab ke Sath Dasht Mai Laila Bhi Roti hai
Sar ko Jhukai Pyasi Sakina Bhi Roti Hai
Iss Gham Se Aaj Qabr May Zehra Bhi Roti Hai
Ahle Haram ke Khafela Salar ka Gala
Jakda Huwa Hai Tauq Mai Bimar Ka Gala
Qaidi Bana Huwa Tha yeh Shabeer ka Pisar
Saindaniya thi Sari Aaseer Aur Barhaina Sar
Har Zarra Ro Raha Tha ye Ghurbat ka Tha Asar
Zulm-o-Sitam ki Zaad pay tha Lachar ka Gala
Jakda Huwa Hai Tauq Mai Bimar Ka Gala
Sajjad Samnay Tha Sakina Guzar Gayi
Ahle Haram ko Qaid Mai Bey Aashar Gayi
Bhai kafan Na De Saka Hamsheer Margayee
Khulday Barrin ke Malik-o-Muqtar ka Gala
Jakda Huwa Hai Tauq Mai Bimar Ka Gala
Majlis Mai Aaj Sunke Azadaroun ki Buka
Kawsar Ne Roke Haal jo Bimaar ka Likha
Zehra Dau'en Deyengi Sila De'nge Murtuza
Zalim Ne Bandha Shah ke Dildar ka Gala
Jakda Huwa Hai Tauq Mai Bimar Ka Gala