hoo mai aafat mein giraftaar mujhe rone do
kehte thay abide bemaar mujhe rone do
kaun baaqi hai jo aakar mere aansu poche
bekasi kehti hai har baar mujhe rone do
kehte thay abide bemaar...
ek jiska koi marta hai to rota hai wo shaks
lutgaya sab mera gha rbaar mujhe rone do
kehte thay abide bemaar...
jinko taqdeer hasaati hai wo haste bhi hai
mujhko rona hai sada baar mujhe rone do
kehte thay abide bemaar...
koi baaqi nahi shabbir ka rone waala
hoo mai bekas ka azadar mujhe rone do
kehte thay abide bemaar...
shaah e deen chod gaye hai mujhe rone ke liye
koi baaqi nahi ghamkhaar mujhe rone do
kehte thay abide bemaar...
zabt karta hoo to shaukat mera dil ketha hai
hoo bahattar ka azadar mujhe rone do
kehte thay abide bemaar...