Sar kat'te hi Baba ka qayamat huwi barpa
Thi aag lagi khaimo'n me ek hashr bapa tha
Ghash me the pade Abide Beemar zami'n par
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par
Kya kya na sahe ranjo sitam Abide Dilgeer
Zakhmo'n se lahu behta tha jab hilti thi zanjeer
Koi na taras khaata tha hanste the sitamgar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par
Jhoola Ali Asghar ka jhulaste huwe dekha
Chaadar Sar-e Zainab se utarte huwe dekha
Is zulm pa bhi sabr kiya Allah o Akbar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par
Mazloom Sakina ki bhi turbat hai banayi
Maa deti rahi Laash pa ro ro ke duhaayi
Dafna ne ko behna ke kafan tha na muyyasar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par
Bas Shaam ka naam aate hiHojaate the Muztar
Maa Behne'nPhupi saath thi'n be maqna 0 chaadar
Kehte the na Bhoolunga kabhi shaam ka manzar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par
Baba se jo waada tha Usse kardiya poora
Wo sabr kiya sabr bhi aajiz nazar aaya
Mazloomi ke sadge Tere Aye Shah ke Dilbar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par
Khwahar ko tamaanche lage par lab na hilaya
Hamsheer tadapti rahi jalta raha seena
Aur saamne Masooma ke bhi chhin gaye gohar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par
Aye Moosavi duniya se utha aaj wo Ghamkhwaar
Chaalees baras Roya tha Sheh ka jo Azadaar
Maatam issi Mazloom ka hai aaj har ek ghar
Kya zulm the Farzande Hussain Ibne Ali par