Baap ki qabr pe kehti thi tarap kar Zahra
Aap kya guzray zamanay se zamana badla
Aap ki beti hoon yeh jaan kar woh zulm hua
Haaye baba mujhay kya ajr-e risalat hai mila
Bay'at-e faasiq-o-faajir ke liye aaye thay
Hukm-e 'Mann Kunto' musalman bhula baithay thay
Aap ke jaate hi woh zulm-o-sitam dhaaye hain
Mujh pe be-reham zara bhi na taras khaaye hain
Dhamkiyan dene mere ghar pe chalay aaye hain
Lakriyan aag lagane ke liye laaye hain
Minnatein karti rahi ghar na jalao mera
Par kisi ne na suna bint-e Nabi ka kehna
Choomnay jisko malaaik bhi chalay aatay thay
Khaana-e Zahra ki ta'zeem mein jhuk jaatay thay
Aur Quran ki tafseer jahan laatay thay
Aur mere naam ki tasbeeh parha kartay thay
Aag us dar ko lagayi hai sitamgaron ne
Aur hamla kiya ghar par mere kuffaron ne
Aa ke zaalim ne woh gustakhi ki mujh se baba
Aur lihaaz aap ka rakkha na mera bhi rakkha
Aur kehta tha Ali aaye na baahar warna
Khaana-e Zahra ko phir aag laga daaloon ga
Woh sitam hum pe huway saara zamana dekha
Aur darwaza mere ghar ka jalaya baba
Ghar mein aa kar mere waali pe sitam dhaanay lagay
Ghurkiyan dene lagay aankh bhi dikhlanay lagay
Saath darbar bhi le jaane ko dhamkaanay lagay
Bay'at-e faasiq-o-faajir pe bhi uksanay lagay
Qaid kar ke sar-e bazaar liye jaatay thay
Aur rasan baandh ke darbar liye jaatay thay
Aik pal ke liye aaraam na paayi Zahra
Dard mein kis se kahoon kaun hai mera apna
Na hai amma ka sahara na behen bhai ka
Ghar mein aa kar mujhe Qunfuz ne tamancha maara
Saamnay bacchon ke woh zulm-o-sitam dhaaye hain
Dekh kar zulm ko bachay mere tharraye hain
Jalta darwaza bhi pehlu pe giraya baba
Main jhullasti rahi koi na madad ko aaya
Pasliyan toot gayeen mujh pe sitam aisa hua
Main tarapti rahi aur mar gaya mera bachha
Iss tarah mujh ko mila ajr-e risalat baba
Batan mein ho gayi Mohsin ki shahadat baba
Mujh pe jo guzri hai main kis ko bataoon baba
Haal-e dil kis ko sunaoon to sunaoon baba
Kaun hai mera jise zakhm dikhaoon baba
Aap ki qabr pe mar jaoon na jaoon baba
Apne seenay se phir ik baar laga lo baba
Qabr mein Fatima Zahra ko chhupa lo baba
Moosavi khatm karo ab yeh museebat ka bayaan
Arsh par aah-o-fughaan kartay hain sab ahl-e jinaan
Rotay hain sun ke yeh roodaad Rasool-e Do Jahaan
Aaj bas marsiya parhtay hain sabhi marsiyakhaan
Bint-e Zahra bhi yahan ronay ke liye aayi hai
Aur duayein tumhein denay ke liye aayi hai