Kanz e Aza

Masooma e kounain chali aaj watan se

A marsiya for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Masooma e kounain chali aaj watan se

Bhai ki judaai me gaya zor badan se

Kaante ki tarha sookh gayi ranj o mehan se

Zainab sa ayaa'n hota hai gham zouf e badan se

Ye saniye hamsheer hussain ibne ali hai

Bhai ki mohabbat me watan chod chali hai

Hamsheer dil afgaar ghareebul ghuraba ki

Paayi nahi muddat se qabar moosa raza ki

Kuch fikr hai aaram ki ne aab o ghiza ki

Baithi huwi karti hai ibadat bhi quda ki

Taaqat nahi chalne ki asaa ka hai sahara

Hai lab pa kahaa'n reh gaya bhai mera pyara

Jaati hu mai milne ko ghareebul ghuraba se

Milti nahi bekas ki qabar zulm o jafa se

Kuch qair ki umeed nahi ehle dagha se

Ab arsh hila dungi mai faryaad o buka se

Kya aap ki marzi hai suna dijiye jaldi

Hai qaid agar bhai chuda dijiye jaldi

Awaaz e rasool e do sara kaan me aayi

Kar sabr sitam deeda o mazloom ki jaayi

Darbaar e ilaahi me kabhi de na dohaayi

Ek roz kisi tarha se mil jaayega bhaai

Muh mod ke raahat se abhi sath chalunga

Turbat se nikal kar tere humraah rahunga

Ruqsat huwi ye sun ke gayi fatima ke paas

Sar payenti marqad ke rakha aaye wo vaswaas

Pehle se siwa girya kiya dil huwa be aas

Bhai se mulaqat ki badhti hi gayi yaas

Chillayi ke qadmou pa tumhare mera sar hai

Kya guzri kaho bhai ki kuch tumko qabar hai

Ummat hame chodegi kisi roz satana

Ghurbat me chali hu mujhe aijaaz dikhana

Raste me qaza aaye to tum laash par aana Aur ghusl o kafan hooriyou se aap dilana

Dil hilta hai vaswaas bohat aate hai amma

Lo jald qabar hosh mere jaate hai amma

Uthhi lahad e fatima zahra se ba riqqat

Seene se bhateeje ko laga kar kiya ruqsat Phir baith gayi kaanpti mehmil me ba riqqat

Chillane lage sab ye basad aah o mohabbat

Aye dukhtar e mazloom khuda hafiz o nasir

Aye qwahar e mazloom khuda hafiz o nasir

Do manzila karti thi safar muztar o naala'n

Chalti huwi pohanchi dar e qum par jo paresha'n

Pohanchi ye qabar shehr me tha hashr ka saama'n

Har saahib e imaa'n ne kiya qaak garebaa'n

Sab ahle wila apne gharou se nikal aaye

Phainke huwe amame sarou se nikal aaye

Hoti hai azadaari ye kis abde quda ki

Hai qair to be yaar anees ul karaba ki

Lillah sunaao to qabar bhai raza ki

Mamoon ne bhi kya mere bhai se dagha ki

Lab hilte hai par kehte nahi saaf zabaa'n se

Ruqsat huwa kya bhai mera daar e jaha'n se

Aye bibiyo ab behre quda jald batao

Taa hashr tumhe dungi dua jald bataao

Zehra ke liye ahle aza jald bataao

Kis jaa hai ghareebul ghuraba jald bataao

Kis haal me wo qaaliq e akbar ka wali hai

Batlaata nahi koi meri jaan chali hai

Tab sab ne kaha qaak e aza sar pe udhaa ke

Shehzaadi tumhe sabr e hassan rabb e ulaa de

Sun leeje sunaani dil e pur gham ko sambhaale

Maare gaye mazloom raza zulm o jafa se

Be jurm kiya qatl imaame dosara ko

Angoor me zalim ne diya zehr raza ko

Ab kaash meri laash pa aye bhai tum aate

Rote huwe mayyat ko meri ghusl dilaate

Hathou se kafan apne mujhe aap pinhaate

Taa qabr janaza mera kaandhe pa uthaate

Hai aag kaleje me kaleje se lagaalo

Rouze pa nagee'n ko bhi bohat jald bulaalo