muslim pa laeeno'n ki chadaayi hai seher se
tou-e- pa qayamat ghazab aayi hai seher se aur ek tane tanha pa ladaayi hai seher se
dam lene ki fursat nahi paayi hai seher se
mazloom pa ek nargha-e- afwaaje jafaa hai
yaa'n daayere me nuqta-e- anwaar-e- quda hai
zilhij ki navi arfe ka din qatl ka saamaa’n
par eid ye ho aap pe hota hu mai qurbaa’n
shehzaado'n ka aur shaah ka allah nigehbaa’n
karta hu ruqayya ki sifarish magar is aa'n
kudh kudh ke mere gham me na dam uska nikal jaaye
sadqe me sakina ke ruqaiyya meri pal jaaye
al qissa sahar ko huwi aada ki chadhaayi
tou-a- ka makaa'n ghir gaya aafat nahi aayi
chillati thi tou-a- ke duhaayi hai duhaayi kyu karte hai hyder ke bhatije se ladaayi
kyu lad-ne ko sab aaye ho ye kis se lada hai
bechara mere hujre me faaqe se pada hai
ye sunke baraamad huwa wo naayebe shabbir
baadal ki tarha chaagaye sab zaalim-o- be peer
haato'n me tuli barchiyaa'n chullu se mile teer
padne lagi mazloom pa shamsheer pa shamsheer
deewar pa amboh tha aur baam ke upar
balwa tha ajab muslim-e- naakaam ke upar
ek phainkta tha chob ko aatish se jalaa ke
muslim pa girata tha koi sang uthake
yaa valvale me naara tha ya shere khuda ke
deewar hata dete the ghode ko badha ke
jo padhta tha jab haath kamar baandhe adu par
ghode se wahi'n phainkte the baam ke oopar
nagaah lab-o- danda’n pa laga sange-jafakaar
qam hogaye aur mu se lahu daala kayi baar
par dabdaba ye tha ke na paas aate the kaffaar
aaqir ko dagha ki ye pukare wo sitam gaar phir ladna zara poochlo bhai ki qabar ko
wo naaqa sawaar aata hai kaabe se idhar ko
muddat se suna tha jo na haale shah-e- walaa
ye sunte hi be saaqta talwaar ko roka
bas mu ko phirate hi ajal ne kiya mujra
barchi to kaleje me thi, barchi me kaleja
mu sooe najaf karke kaha apne chacha se
mazloom bhatije ko tere maara dagha se
ye kehte hi ghash hogaye ghode se gire haaye
mazloom ko zaalim dare koofa se utha laaye
muslim pe waha pyaas ka ghalba huwa aye waaye
darwaze pe paani ke zaroof unko nazar aaye
darbaano ko dikhlaake zabaa'n bola wo pyaasa
mehmaan hu aur pyaasa hu paani do zara sa
phir tou-a- ne hotou'n se lagaya jo pyala
peene jo lage mu se lahu paani me daala
dandaa'n bhi gire jaam bana qoon ka thaala
ro ro ke pukaare malak-e aalam-e baala
ab saqiye kousar tumhe sairaab karenge
pyase maro shabbir bhi pyase hi marenge
hamraa'n ke farzand se haakim huwa goya
ab der na kar baam pa muslim ko tu leja
latka de dare koofa me sar kaat ke iska aur baam se balaa e zamee'n phainkde laasha
haa baandh ke phir laash ke paau me rasan ko
tash'heer karo muslim-e- aawara watan ko
kaabe se isi roz rawana huwe the shaah
muslim to labe gor the shabbir sar-e- raah
jibreel ne koofe ki zamee'n se kaha nagaah
haa'n hukme quda ho to baland itna hi wallah
muslim shahe mazloom ki tasveer ko dekhe
shabbir use dekhe wo shabbir ko dekhe
kufe ki taraf shaah ne chehre ko phiraya
saidaniyo'n ne mahmilo'n se parda uthaya
allah ne muslim ka jamaal unko dikhaya
baitha huwa talwar ke neeche nazar aaya
baaham thi nazaaro'n me sada haaye aqi ki
yaa'n fatima roti thi waha'n rooh ali ki
chehrou pa tamanche haram-e- sheh ne lagaaye
milne ke liye haat ruqaiyya ne badhaaye
chillayi ke lo amma wo baba nazar aaye
sab kehte the baba ne waha'n shehr basaaye
naa farsh hai na saaya-e- deewar ke niche
baba to mere baithe hai talwar ke niche
kya rote ho logo mere baba ko pukaaro
lejaake ruqaiyya ko pidar par koi waaro
zainab phupi ushtar se mujhe jald utaaro
ya hazrate abbas himaayat ko sidharo
deti hu sakina ki qasam jaake bachalo
baba ko mere tegh ke neeche se uthalo