pardes me muslim ke yatimo'n pa jafaa hai
darya pa paye qatl adu leke chala hai
chota to bade bhai ka mu dekh raha hai
zor isko madad ka nahi mashghule buka hai
be rahem ke qaabu me hai do naazo'n ke paale
har soo nigaraa'n hai ke koi aake bachaale
chote ko bade bhai hai badh badh ke bachata
har baar hai mus'haf ki tarha beech me aata
ro deta hai kuch kehne ka mouqa nahi paata
be saaqata ek baat zabaa'n par hai ye laata
sun haal gharibo'n ka quda ke liye dam le
ab ham tere ghar me kabhi aaye'n to qasam le
kuch ghar me tere chain nahi paaya hai aisa
todaa hai faqat paani se faaqa kayi din ka
khud aaye nahi ki teri zouja ne tamanna
hujre me namaze'n hai padhe aur kiya kya
ham bacche hai tu apni buzurgi pa amal kar
taqseer jo kuch hamse huwi ho wo bahal kar
ye jurm hai bin pooche jo aaye hai tere ghar
hujre me rahe shab ko bhi bedaar barabar
kurte phate, gesu chide, seli lagi hampar
takleef bahut de chuka ab chod sitamgar
jangal me kahi'n baith ke ham royenge zaalim
mu karke tere ghar ko na ab soyenge zaalim
sunta na tha mazloomo'n ki ek baat sitamgar
dete the nida zouja-e- haris ko ye badh kar
ye jaante to ham kabhi aate na tere ghar
mehmano'n ko apne tu bachaati nahi maadar
chudh waade ke pakde huwe zulfo'n ko adu hai
amma nahi baba nahi jo kuch hai so tu hai
balo'n ko bikhere huwe wo momina thi saath
mazloomo'n ko zalim se chudaati thi wo qush zaat
kehti thi quda ke liye kya karta hai badzaat
geh paau'n pa sar rakhti thi geh baandhti thi haat
bas bas ke zami'n ab to hili jati hai zalim
zehra mujhe sar nange nazar aati hai zalim
zalim ne tah-e- tegh kiya zouja ko us aa'n
ya fatima keh kar huwi zehra pa wo qurba'n
darya pa adu laya unhe pakde garebaa'n
di tegh ghulame habashi ko waha'n uryaa'n
ghusse se kaha dono ko ungli se dikha kar
haan kaatle sar unke kinare pa tu jaakar
talwar ko chamka ke badha wo habashi aah
ye tegh tale sar ko jhuka kar huwe hamraah
likha hai ke tha wo habashi marde haq aagaah
raste me qitaab usse kiya dono ne nagaah
hamshakl bilaal-e- sha-e- loulaak ka tu hai
sach keh ke payambar ka mohib hai ke adu hai
farzand ko di haaris-e- maloon ne talwaar
aur bola ke sar kaatle in dono ke ek baar
wo bola ke mujhse ye nahi hoyega zinhaar
ye tu hi hai bad baqt siyah roo-o- jafakaar
haaris tu pisar kis ka shaqi-e- azali hai
maa fatima hai momino'n ke, baap ali hai
tu kor hai zalim nazar aaye tujhe kyu kar
le dekh nabi rote hai darya pa khule sar
ye sunke utha haaris-e- maloon-o- sitamgar
zalim ne kaha mujh ko nahi qouf-e- payambar
ek tegh tale dono baradar ko bitha kar
sar kaata bade bhai ka chote ko dikhakar
sar paas rakha lash ko darya me bahaya
bhai ke gale ka jo lahu qaak pa paaya
ulfat se baradar ka lahu josh me aaya
tab jod ke haath apne ye qatil ko sunaya
pochu'n ye lahu kurte se talwar jhukade
lotu'n bade bhai ke lahu me jo raza de
wo bola ke ho shouq se ghaltaa'n mujhe kya dar
bhai ke lahu me wo laga lotne girkar
kehta tha bade bhai kaha'n dhoonde baradar
tum to abhi baithe huwe the mere baradar
kis ne hi naseeb aise ulat'te huwe dekha
bhai ne gala bhai ka kat'te huwe dekha