Kanz e Aza

QAID SE CHUT KE AAI HAI ZAINAB

A marsiya. Lyrics in Roman Urdu.

qaid se chut ke aayi hai zainab

sadme dil par uthaayi hai zainab

qabr shah ki banaayi hai zainab

kuch yathimou ko laayi hai zainab


kehti hai roke lo qabar bhaai

qatm ab hogaya safar bhaai


main hu zainab falak satayi hu

tumse milne yahaan mai aayi hu aur lute qaafele ko laayi hu

bhaai kya kya sitam uthaayi hu

shaam tak nange sar gayi zainab kyu na pahle hi mar gayi zainab


uth ke dekho to ek nazar bhaai

tukde sadmou se hai jigar bhaai

hogaya hai sufaid sar bhaai

jhuk gayi hai meri kamar bhaai


waada poora mai kar ke aayi hu

pusht par taaziyaane khaayi hu


saare kunbe ko saath laayi thi

mehnatou se ye ghar basaayi thi

mai ne doulat ye maa se paayi thi

hogayi dafn jo kamaayi thi


ab ho kyu kar meri basar bhaai

haaye kis mu se jaau ghar bhaai


ab na uth ke yahaa se jaaungi

qabr baalou se apne jhaadungi

phool har subha mai chadhaaungi

shama raatou ko mai jalaaungi


yu hi ho jaayegi basar bhaai

kya kare jeeke nouha gar bhaai


gar koi pooche kis ki jaayi hai

qabr kis ki ye tu banaayi hai

mujh ko qismat kahungi laayi hai

mai bahan hu ye mera bhaai hai

the nabi ke ye maan-ne waale aur musalmaa'n the maarne waale


kya bataaun shaheed ki haalat

tan tha zaqmi thi dhoop ki shiddat aur namaazi pa pyaas ki shiddat

sar uthaane ki bhi na di mohlat

dafn is jaa hai naamhar bhaai

de diya raah-e- haq me sar bhaai


thi muqaddar me mere ruswaayi kyu na darbaar hi me mout aayi

pesh-e-haakim gayi ye dukh paayi

ghussa aaya tha pee gayi bhaai

jo huwe zulm seh gayi zainab

sab ke rone ko reh gayi zainab


Kya batau jo guzre ranj o mehan

Baazuo'n me mere bandhi thi rasan

The tamashaai saare mard o zan

Lut gayi lut gayi mai shaahe zaman


Phiri bazaare sham me zainab

Gayi darbaare aam me zainab


Mujh se bar gishta thi meri taqdeer

Qoob ki meri izzat o touqeer

Sar se chadar chini huwi tash'heer

Phiri bazar me mai hoke aseer


Aur bhi kuch sunaau kya bhai

Apne baazu dikhaau kya bhai


Jab kiya hamko daaqile zindaa'n

Naam ko bhi na roushni thi wahaa'n

Roke kehti thi ye sakeena jaa'n

Yaa se lekar chalo phupi amma


Mujh se bardaasht ho nahi sakti

Mai andhere me so nahi sakti


Maarte the tamache baani e shar

Kaan se us ke cheen kar gouhar

Ho gaya tha lahu me kurta tar

Kya kahu ab ke phat raha hai jigar


Shimr ki khaa ke seliya bhaai

Margayi teri neem jaa'n bhaai