Kanz e Aza

RAN SE JAB KHAKE SINAAN AKBAR -E- ZISHAAN AAYE

A marsiya for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ran se jab khake sinaa'n akbar -e- zishaa'n aaye

maa ki qidmat me koi aan ke mehmaa'n aaye

ghar me laashe ko liye shaah -e- shahidaa'n aaye

nouha gar qaak basar chaak garebaa'n aaye


di sada qatl huwe yousuf -e- saani bano

mil gayi qaak me akbar jawani bano


dekhle aaqri deedar pisar marta hai

saamne ankho'n ke ye noor-e- nazar marta hai

ab koi dam me mera rashke qamar marta hai

mu se baahar hai zabaa'n tishna jigar marta hai


dam hai seene me ruka zakhmo'n se khoo'n jaari hai

shahar bano tera ghar lutne ki tayyari hai


pahonchi qaime me jo hazrat ko ye purdard sadaa

muztarib hogaye naamoose rasoole dosara

kaha chilla ke sakina ne ke hai hai bhaiyya

fizza doudi sooe dar phaink ke sar par se ridaa


peet'ti zainab -e- muztar nikal aayi baahar

baano ghabra ke khule sar nikal aayi baahar


shah ke kaandhe pa jo dekha ali akbar ko nidhaal

haath phaila ke ye chillayi ke hai hai mere laal

kya ghazab hogaya aye baad-e- shah-e- nek qisaal

raas aaya na mere bacche ko attarwaa'n saal


tukde tegho'n se badan hogaya saara hai hai

koun tha jis ne mere sher ko maara hai hai


roke bano se ye farmane lage sarwar-e- dee'n

sar na peeto abhi zinda hai mera maah-e jabee'n

saans aati hai pa har dam hai dame baade pasee'n

kooch inka bhi hai aur ham bhi hai marne ke qaree'n


sab chute ab na raha koi hamara baano

is jawaa'n bete ke gham ne hame maara baano


sun ke maadar ki sadaa khol diye dida -e- nam

haath utha kar kaha ro-o na mere sar ki qasam

paas aakar hame chaati se lagalo is dam

ran se aaye hai tumhaari hi mulaaqaat ko ham phir ye ghar shaah ke iqbaal se dekha hamne par tumhe aake ajab haal se dekha hamne


baal kyu bikhre hai kyu phaink di sar par se rida

neel kyu seeene pa hai kyu hai garebaan phata

qaak kyu mu pa mali ho ye pisar tum pa fida

shaah dunya me salamat rahe ye kya ye kya


lut gayi ye na suqan mu se nikaalo amma

mai to jeeta hoon kaleje ko sambhalo amma


zaqmi hone ki mere kis ne qabar pohnchaayi

jhoot hai mai ne to hargiz nahi barchi khaayi

aap tak bete ko taqdeer salamat laayi

dekhe hazrat ke qadam tan me mere jaa'n aayi


marg se pahle ho maatam ye zaboo'n hai amma

mere kapdo'n pa to abbas ka qoo'n hai amma


boli bano ke jo kehte ho khuda yu'n hi kare

aye mere laal ye maa teri balaa leke mare

laao dho daalu'n mai jo khoon me kapde hai bhare

chaand se haath hai phir kis liye chaati pa dhare


mujh ko maalum huwa qalq se jaate ho tum

mere rone ke liye zaqm chupate ho tum


bano sadme se na marjaye ye dar hai beta

sab tere dil ki mere dil ko qabar hai beta

haaye seena ye tera khoon me tar hai beta

phir ye kya hai jo nahi zaqme jigar hai beta


san'sanaata hai jigar jaan chali jaati hai

is lahu se to mere doodh ki boo aati hai


aarzu hai ke phale phule mera naqle muraad

tum dulhan byaah ke laao mera ghar ho aabaad

dehkh loo'n ankhou'n se apne mai tumhari aulaad

phir mai dunya se jo guzroo'n to rahe rooh bhi shaad


daadi kehlaaungi rutba mera bartar hoga

tera farzand bhi hamshakl -e- payambar hoga


aah ki sun ke ye akbar ne basad ranj-o- malaal

dard chaati me utha ghair huwa aur bhi haal

dil me ye soch ke rone laga wo nek qisaal

ham safar karte hai amma ko hai shaadi ka qayaal


bar me hoyega kafan qaak pa chehra hoga

naa dulhan hogi na aulaad na sehra hoga