Kanz e Aza

SAB THAM GAYE MAGAR NA THAMA SHIMR -E BAD SHIYUM

A marsiya for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

jisdam nagin-e khaatim-e paighambaraa'n giraa

rounaq uthi zamee'n se imaam-e zamaa'n giraa

girne pa sab giroh liye barchiyaa'n giraa

hae hae na in jafaao'n pa bhi aasmaa'n giraa


zehra se poochiye ye qalaq noor-e ain ka

tapna zamee'n ka aur tadapna hussain ka


mushtaaq-e ser-e zibha bade afsaraan-e kee'n

qaatil kayi khade huwe aakar qaree'n qaree'n

koi pukaara haa'n koi bola abhi nahi

ab der kya hai sajde me rakh lene do jabee'n


awaaz di umar ne hai gardan dhali huwi

qaatil pukaara aankh abhi hai khuli huwi


sab tham gaye magar na thama shimr -e bad shiyam

sar peetne ki jaa hai rakha us jaga qadam

seena daba to aur bhi tadpe shah-e umam

shor-o fughaa'n suna isi haalat me dam badam


qaatil se poocha dekh kidhar ghul ye hota hai

hai hai hussain ke koi ran me rota hai


wo bola koi hoga mai dekhoo'n bhala kidhar

ab tegh par nigaah hai sheh rag pa hai nazar

haa'n jab sawaar hone laga tha mai seene par

saidaani ek qaime se nikli thi nange sar


is dam hamaari fouj me to eid hoti hai

mujh ko yaqeen hai ye wahi bibi roti hai


shah bole aur koi nahi ye bahen bahen

aashiq bahen hussain ki tashna dahan bahen

bhooli hamaare pyaar me maa ka chalan bahen

balwa kahaa'n, kahaa'n ye meri qasthatan bahen


qaatil pukaara aage bhi baahar ye aayi thi

sheh bole jab sinaa'n yeh ali akbar ne khaayi thi


aage hai wo maqaam ke ghash honge mominee'n

ye saamne hussain hai wo zainab-e hazee'n

gardan pa tegh dil me sinaa'n seene par laee'n

zainab ye haal dekhti hai aur bas nahi'n


na mehrumo'n ka dhyaan na parde ka hosh hai

ye sab lahu ka josh hai ulfat ka josh hai


wo rona bekasi ka wo ghabraana yaas ka

wo thartaraana dil ka wo udna hawaas ka

kehna bilak bilak ke ye kalma hiras ka

aye shimr waasta ali asghar ki pyaas ka


lillah teen roz ke pyaase ko chod de

sadqa nabi ka unke nawaase ko chod de


tham jaa quda ko maan habeeb-e quda ko maan

zehra ko maan hazrat-e mushkil kushaa ko maan

saugand faqr-e faaqa-e aal-e abaa ko maan

apni rasool zaadi ki tu iltejaa ko maan


saare buzurg margaye mujh bad naseeb ke

mera koi nahi hai siwa is ghareeb ke


aye shimr paas bhai ke aau'n jo tu kahe

zaqmou se jalti ret chudhaou'n jo tu kahe

chadar badan ke neeche bichaau'n jo tu kahe

bekal hai sar mai aake uthau'n jo tu kahe


paani to yaa'n milega na zehra ki jaayi ko

aansu chidak ke hosh meh laaungi bhai ko


aye shimr mai gale se lagaaloo'n to zibha kar

bhai se milke qaime meh jaaloo'n to zibha kar

kuch dard apne dil ka sunaaloo'n to zibha kar

syed ko qibla roo mai litaaloo'n to zibha kar


paani to bhooke pyase ko aye badqisaal de

hai waqt-e zibha aankho'n pa kapda to daal de


aye shimr tujhko qaaleq-e akbar ka waasta

aye shimr tujhko rooh-e payambar ka waasta

aye shimr tujhko hyder-e safdar ka waasta

aye shimr tujhko nanhe se asghar ka waasta


lillah kar na zibha shah-e mashraqain ko

mai bheek maangti hoon mujhe de hussain ko


ye kehte kehte sust huwi dam ulat gaya

sar peet'ti ye rehgayi sar sheh ka kat gaya

yu'n laash par giri ke jigar sab ka phat gaya

baahe'n gale me daalke laasha lipat gaya


maa ki tarha thi aashiq-e shaah-e zaman bahan

ye bhai bhai kehti thi laasha bahan bahan