aye momino hussain pa shiddat ki pyaas hai
jangal me fatema ka pisar be hawaas hai
yaawar na koi hai na koi bhaai paas hai
laashe uthaake laane se moula udaas hai
lu chal rahi thi pyaas thi waqt-e zawaal tha
be chain ran me dhoop se zehra ka laal tha
aye momino qayaal karo dil me tum zara
wo pyaas aur wo zaqm wo sehraa-e karbala
wo saamne ki dhoop wo zaqmo'n ka mu khula
wo lu se phat- tha zaqmo'n ka wo dard wo jafaa
kya dukh uthaaye fatema ke noor-e ain ne
aafat sahi tumhaare liye ye hussain ne
aada se keh rahe the ye moula ghareeb hoo'n
allah ke habeeb ka yaaro habeeb hoo'n
ek dam me dam nikalta hai ab anqareeb hoo'n
zaqmi hoo'n begunaah hoo'n aafat naseeb hoo'n
tum jiske kalma go ho mai uska nawaasa hoo'n
paani pilaake zibha karo yaaro pyaasa hoo'n
kehte the ye hussain ke ek zalzalaa huwa
saatho'n tabaq zameen ke hile aasmaa'n hila
naagaah aayi fatema zehra ki ye sadaa
waqt-e- namaaz-e asr bhi nazdeek aagaya
tifli me jo kiya tha wo waada wafaa karo
jhuk kar hussain shukr ka sajda adaa karo
jisdam suni hussain ne zehra ki ye sadaa
qof-e qudaa se kaanp gaye sar se taa bapaa
ghash khaake farsh-e zee'n se gire wa musibataa
har zaqm se nikalne lagi shukr ki sadaa
sajde me sar tha dhyaan tha us kaar-o- saaz par
rote the shaah sar dhare qaak-e niyaaz par
isdam laee'n ne door se dekha ye maajra
shimr-e laee'n ko paas bulaakar ye tab kaha
sibt-e rasool qaak pa behosh hai padaa
kya dekhta hai waqt phir aisa na aayega
zaqmo'n se choor hai tan-e at'har hussain ka
haa'n jald jaake kaat le ab sar hussain ka
ye mu(s)dda sunke aagaya laalach me wo laee'n
qanjar pakad ke aaya qareeb-e- imaam-e dee'n
chaathi pa zaanu rakh ke chadhaayi jo aastee'n
tab noor-e chashm-e fatema ne aankhe'n khol di'n
dekha to koi dost hai ne ghamgusaar hai
qanjar gale pa seene pa qatil sawaar hai
farmaaya shah ne koun hai tu aye sitam shiyaar kyu mere zaqmi seene pa aakar huwa sawaar
qanjar mere gale pa jo rakhta hai baar baar
samjha hai kis qataa pa mujhe tu gunaah gaar
deta hai ranj rooh-e risaalat panaah ko kyu zibha karne aaya hai mujh begunaah ko
ispar bhi kuch na dil me laee'n ke asar huwa
qanjar se kaatne laga mazloom ka gala
uswaqt aayi fatema zehra ki ye sada
aye shimr mera laal hai be jurm-o be qataa
ye zulm mustafa ke nawaase ke halq par
qanjar na pher bhuke ke pyase ke halq par
mai ne bade dukhoun se hai paala hussain ko
naahaq tu zibha karta hai pyaasa hussain ko
Lillaha zere tegh na tadpa hussain ko
phat te hai zaqm hoti hai eezaa hussain ko
zaalim kaleja phat-ta hai mujh dil malool ka
bachhe ko mere chod de sadqa rasool ka