Aaj chehlum tamaam hota hai
Dafn sab ka imaam hota hai
Wehshatou ka ab maqaam hota hai
Dard gardu'n qayaam hota hai
Tan e sheh aaj sar se milta hai
Arsh e qaaliq dobara hilta hai
Karbala me hai aaj shewan o shain
Dafn hoti hai aaj laash e hussain
Roti kubra hai sheh ki noorul ain
Baano e shaah hai bohat bechain
Ro ro zainab dohaayi deti hai
Karwate'n sheh ki laash leti hai
Shash jehat me hai shor wawaila
Aati hai ye malayeka ki sada
Qaid se chutkar imaam aaj aaya
Aaj ek hashr phir bapa hoga
Chalo aye qoum peshwaayi ko
Laao zainab falak satayi ko
Aage aage the jibraeel e amee'n
Unke piche malayeka ghamgee'n
Phaink kar taaj e sar ba roo-e- zamee'n
Aaye beemar karbala ke qaree'n
Haa milaane alam ko le aaye
Qatl gah me haram ko le aaye
Aaj sajjad ko ghash aate hai
Ghash se fursat jo zara paate hai
Baap ki laash ko hilaate hai
Gathhe zanjeerou ke jo dikhaate hai
Jab wo beemar dukh sunaata hai
Lasha e shaah kaanp jaata hai
Pohanche jo aabid jo lasha e sheh par
Bole basad malaal ro ro kar
Kuch qabar aapko hai aye sarwar
Ranj kya kya huwe hai bande par
Aap ke baad ham aseer huwe
Touq aahan me dastageer huwe
Le gaye humko bediya pehna Aur gardan me touq bhi daala
Aap sote rahe yaha'n baba
Li qabar bhi naa meri kuch islaa
Dushman e dee'n zabas sataate the
Taaziyaane mujhe lagate the
Sun ke ahle haram bhi sheh ki sada
Roye aisa ke hosh bhi na raha Phir to zainab ne shaah se ye kaha
Bhai aayi hai ye behan dukhya
Sath ahle haram ko laayi hu Par sakeena ko khoke aayi hu
Boli zainab ke aye shaheed imaam
Aayi hu tai mai kar ke raahe shaam
Ab yaha se naa jaungi ek gaam
Aapki qabr par rahungi madaam
Is besha me jaan khoungi
Umr bhar aapko mai roungi
Bhai sharminda hu mai sughra se
Muh watan me dikhaau kya jaake
Nahi mumkin hai ab ye zainab se
Aapko ban me chod kar jaae'n
Qabr asghar ki ab banaaungi
Umr bhar baithi qaak udhaaungi
Sun ke laasha tadap gaya sheh ka
Aayi halq e bareeda se ye sada
Aye behan duqtare Ali e huda
Kahu'n paighaam kya mai sughra ka
Mujh ko sajjad se nadaamat hai
Hijr sughra ka ek qayamat hai
Laashe akber pe zainab e dilgeer
Aayi jis dam ba haalat e taagheer
Kehti thi haye mere badre muneer
Qaak me teri mil gayi tasweer
So chuke bas utho utho beta
Aaye sajjad hai milo beta
Tum se chut kar huwe ye mujh pe sitam
Qaid kar shaam le gaye azlam
Sar e darbaar be rida the hum
Tasht me tha sar e imame umam
Sath fouje yazeed thi beta
Qatl e sayyad ki eid thi beta
Thi sakina jo shaah ki duqtar
Khadi kehti pidar ke laashe par
Haal beti ka dekho aye sarwar
Baal khole hai apne ro ro kar
Mujh pe kya kya sitam huwe baba
Muh ka dekho mere waram baba
Eid ke roz tumne jo sarwar
The pehnaaye jo kaan me gouhar
Le liya usko shimre bad gouhar Aur tamache bhi maare hai muh par
Apna dukh mai sunaane aayi hu
Neel muh ke dikhaane aayi hu