Kanz e Aza

Aaj Shabbir Pe Kya

A marsiya for Imam Hussain (a.s), written by Mir Anees. Lyrics in Roman Urdu.

aaj shabbir pe kya aalam e tanhaai hai

zulm ki chaand pe zehra ke ghata chaayi hai

us taraf lashkar e aada mein saf aarayi hai

yan na beta na bhatija na koi bhai hai

barchiyan khaate chale jaate hai talwaron mein

maar lo pyase ko hai shor sitamgaaron mein


zakhmi baazu hai kamar kham hai badan mein nahi taab

dagmagate hai nikal jaati hai qadmon se rakaab

pyaas ka ghalba hai lab khushk hai aankhein pur aab

taygh se dete hai har waar ka aada ko jawab

shiddat e zaof mein jis jaa pe teher jaate hai

saikdon teer e sitam tan se guzar jaate hai


gaysu aalooda khoon lipte hai rukhsaaron se

shaane kat kat ke latak aaye hai talwaron se

teer payvast hai khoon behta hai sofaaron se

laakh aafat mein hai ek jaan dil aazaaron se

fikr hai sajda e mabood mein sar dene ki

waar se tayghon ke fursat nahi dam lene ki


khoon se tar pech amaame ke hai sar zakhmi hai

hai jabeen chaand si pur noor magar zakhmi hai

seena sab barchiyon se taaba kamar zakhmi hai

teer e beedaad se dil zakhmi jigar zakhmi hai

zarb e shamsheer se bekaar hai baazu dono

zulm ke teeron se majrooh hai pehlu dono


barchi aa kar koi pehlu mein laga jaata hai

maarta hai koi naiza to ghash aa jaata hai

badte hai zakhm e badan zor ghata jaata hai

band aankhein hai sar e paak jhuka jaata hai

gird zahra o ali girya kuna phirte hai

ghul hai ghode se imame do jahan girte hai


girte hai khatra e khoon zakhm e jabeen se paiham

daste majrooh se khaynch sakte nahi teer e sitam

fikr hai bakshish e ummat ki kuch apna nahi gham

karte hai shukre khuda khushk zuban se har dam

hai abaa teeron se ghurban qaba gulgoon hai

honth ya waqt se zakhmi hai dahan par khoon hai


zeen se hota hai juda doshe mohamed ka makeen

chaman e fatema ka sard hai maa'il ba zameen

barchiyan gird hai beech mein hai sarwar e deen

hai ye nazdeek gire mehre nabuwat ka nageen

paon har baar raqabon se nikal jaate hai

ya ali kehti hai zainab to sambhal jaate hai


laakh talwaarein hai aur ek tan e athar hai

ek mazloom hai aur zaalimon ka lashkar hai

saykdon khanjar e faulaad hai aur ek sar hai

na koi yaar na humdam na koi yawar hai

baag ghode ki latakti hai utha sakte nahi

saamne ahle haram rote hai jaa sakte nahi


koi syed ka nahi aah bachane waala

harbe laakhon hai aur ek zakhm uthane waala

pyaas mein koi nahi pani pilaane waala

sambhle kis tarha bhala barchiyan khaane waala

charkh se aag barasti hai zameen jalti hai

maare garmi ke zuban khushk hai loo chalti hai


kahin dam lene ko saaya nahi hai waqt e zawaal

aenthi jaati hai zuban pyaas ki shiddat hai kamaal

kabhi zainab ka hai ghamgaah sakina ka khayaal

din jo dhalta hai to hazrat huwe jaate hai nidhaal

misle khursheed badan zauf se thar tharata hai

nayyar e burj e imamat pe zawaal aata hai


kehte hai zaalimon se khushk zuban dikhla kar

behre haq pani ka ek jaam pila do laa kar

ahle keen kehte hai tayghe sitam chamka kar

aab e shamsheer piyo barchiyon ke phal kha kar

ye sukhan sun ke bhi ghussa nahi farmate hai

yaas se suye falak dekh ke reh jaate hai


arz karte hai ye khaaliq se ke ay lab e ghafoor

tu hai aalam ke nahi kuch tere bande ka kasoor

karte hai ye mujhe be-jurm o khata tayghon se choor

haath ummat pe uthaana ko nahi mujhko manzoor

jaante hai ke mohammed ka nawasa hoo mai

pani dete nahi do roz ka pyaasa hoo mai


tu ne bachpan se mere naaz uthaye ya rab

wo inayat kya jo tujhse kiya maine talab

tera mehboob bana eid ko mera murakkab

roza rakha to chupa mehr numaya hui shab

bhook mein khuld ka khana mujhe imdaad kiya

bhej kar hirni ka baccha mera dil shaad kiya


ab agar hai ye teri maslehat ay rab e qadeer

ho rawan halq pe is pyaase ke aab e shamsheer

mere maula ba-sar o chashm hai haazir shabbir

hukme haakim mein ye taaqat hai karun mai taakheer

jald gardan pe rawan khanjar e baraa howe

ay khushaa wo jo teri raah mein qurban howe


gham nahi kuch mujhe go bekas o beyaar hoo mai

zer e shamsheer gala rakhne ko tayyar hoo mai

tu madadgaar hai mukhtar hai lachaar hoo mai

waqte mushkil hai inayat ka talabgaar hoo mai

tere sajde mein ye sar tan se juda ho jawe

ehd e tifli ka jo waada hai wafa ho jawe


sakhtiyan marg ki kar apne karam se aasan

lab pe takbeer ho jab khalq pe khanjar ho rawan

dil mein ho yaad teri band ho jis waqt zuban

dam bharun tera hi tan se jo nikalne lage jaan

baad e chehlum jo mujhe qabr mayassar howe

zakhmi tan par na fishaar ay mere daawar howe


rehm kar rehm kar sharminda hoo ay yaar e khuda

bandagi ka tere jo haq tha ada ho na saka

khauf e mahshar se badan kaampta hai sar tapa

hogi aamaal ki pursish to kahunga mai kya

koi tohfa tere laayiq nahi paata hai hussain

haath khaali tere darbar mein aata hai hussain


taqwiat dil ko karam se hai tere ya rahman

nahi mayoos ke rehmat hai teri be-paayan

mushkilein bando ki kar deta hai dam mein aasaan

shukr altaaf o inayaat mein qaasir hai zuban

aasiyon se bhi mohabbat nahi kam karta hai

jurm wo karte hai tu lutf o karam karta hai


mai teri raah mein mazloomi se hota hoo fida

tu hai aagaah ke do din ka hoo bhooka pyasa

chahta hoo mai yehi apni shahadat ka sila

maghfirat ummat e aasi ki ho ay baar e khuda

hai gawara mujhe jo kuch ke aziyyat howe

unko dunya mein bhi aakhirat mein bhi raahat howe